jab se aankhen khuli hain apni dard-o-ranj-o-gham dekhe

jab se aankhen khuli hain apni dard-o-ranj-o-gham dekhe
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
jab se āñkheñ khulī haiñ apnī dard-o-ranj-o-ġham dekhe
in hī dīda-e-nam-dīdoñ se kyā kyā ham ne sitam dekhe
sar jaane kī or apne zinhār nigāh na kī ham ne
uTh ke añdhā-dhund aa.e chale hī us zālim ke qadam dekhe
'ālam hai.at-e-majmū’ī se ek 'ajīb muraqqa’ hai
har safhe meñ varaq meñ us ke dekhe to 'ālam dekhe
zaḳhm na hoveñ kyūñkar ġhā.ir chhātī meñ dil-ḳhastoñ kī
tīr-e-nigāh-e-yār jigar par lagte hue paiham dekhe
yaar ke dar par zikr hai kyā hangāma-e-roz-e-mahshar kā
us kūche meñ qayāmat se to 'mīr' bahut ūdham dekhe
jab se aankhen khuli hain apni dard-o-ranj-o-gham dekhe
in hi dida-e-nam-didon se kya kya hum ne sitam dekhe
sar jaane ki or apne zinhaar nigah na ki hum ne
uTh ke andha-dhund aae chale hi us zalim ke qadam dekhe
'alam haiat-e-majmu’i se ek 'ajib muraqqa’ hai
har safhe mein waraq mein us ke dekhe to 'alam dekhe
zaKHm na howen kyunkar ghair chhati mein dil-KHaston ki
tir-e-nigah-e-yar jigar par lagte hue paiham dekhe
yar ke dar par zikr hai kya hangama-e-roz-e-mahshar ka
us kuche mein qayamat se to 'mir' bahut udham dekhe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1528
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.