kab lutf-e-zabani kuchh us ghuncha-dahan ka tha
kab lutf-e-zabānī kuchh us ġhuncha-dahan kā thā
barsoñ mile par ham se sarfa hī suḳhan kā thā
asbāb muhayyā the sab marne hī ke lekin
ab tak na muue ham jo andesha kafan kā thā
bulbul ko muā paayā kal phūloñ kī dūkāñ par
us murġh ke bhī jī meñ kyā shauq chaman kā thā
be-Dol qadam terā paḌtā thā laḌakpan meñ
ronā hameñ avval hī us tere chalan kā thā
murġhān-e-qafas saare tasbīh meñ the gul kī
har-chand ki har ik kā Dhalkā huā mankā thā
sab sat.h hai paanī kā ā.īne kā sā taḳhta
dariyā meñ kahīñ shāyad aks us ke badan kā thā
ḳhūgar nahīñ ham yūñhī kuchh reḳhta kahne se
māshūq jo apnā thā bāshinda dakan kā thā
bhauoñ ta.iiñ tum jis din saj nikle the ik-pecha
us din hī tumheñ dekhe māthā mirā Thankā thā
rah 'mīr' ġharībāna jaatā thā chalā rotā
har-gām gila lab par yārān-e-vatan kā thā
kab lutf-e-zabani kuchh us ghuncha-dahan ka tha
barson mile par hum se sarfa hi suKHan ka tha
asbab muhayya the sab marne hi ke lekin
ab tak na mue hum jo andesha kafan ka tha
bulbul ko mua paya kal phulon ki dukan par
us murgh ke bhi ji mein kya shauq chaman ka tha
be-Dol qadam tera paDta tha laDakpan mein
rona hamein awwal hi us tere chalan ka tha
murghan-e-qafas sare tasbih mein the gul ki
har-chand ki har ek ka Dhalka hua manka tha
sab sath hai pani ka aaine ka sa taKHta
dariya mein kahin shayad aks us ke badan ka tha
KHugar nahin hum yunhi kuchh reKHta kahne se
mashuq jo apna tha bashinda dakan ka tha
bhauon tain tum jis din saj nikle the ik-pecha
us din hi tumhein dekhe matha mera Thanka tha
rah 'mir' gharibana jata tha chala rota
har-gam gila lab par yaran-e-watan ka tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0689
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.