kis fitna-qad ki aisi dhum aane ki paDi hai
kis fitna-qad kī aisī dhuum aane kī paḌī hai
har shāḳh-e-gul chaman meñ bhīchak huī khaḌī hai
vāshud huī na bulbul apnī bahār meñ bhī
kyā jāniye ki jī meñ ye kaisī guljhaḌī hai
nādīdanī dikhāve kyūñkar na ishq ham ko
kis fitna-e-zamāñ se aañkh apnī jā laḌī hai
ve din ga.e ki pahroñ karte na zikr us kā
ab nām-e-yār apne lab par ghaḌī ghaḌī hai
ātish sī phuk rahī hai saare badan meñ mere
dil meñ ajab tarah kī chingārī aa paḌī hai
kyā kuchh hamīñ ko us kī talvār khā ga.ī hai
aisī hī ik jaḌī hai us ne jahāñ jaḌī hai
kyā 'mīr' sar jhukāveñ har kam-baġhal ke aage
nām-e-ḳhudā unhoñ kī izzat bahut baḌī hai
kis fitna-qad ki aisi dhum aane ki paDi hai
har shaKH-e-gul chaman mein bhichak hui khaDi hai
washud hui na bulbul apni bahaar mein bhi
kya jaaniye ki ji mein ye kaisi guljhaDi hai
nadidani dikhawe kyunkar na ishq hum ko
kis fitna-e-zaman se aankh apni ja laDi hai
we din gae ki pahron karte na zikr us ka
ab nam-e-yar apne lab par ghaDi ghaDi hai
aatish si phuk rahi hai sare badan mein mere
dil mein ajab tarah ki chingari aa paDi hai
kya kuchh hamin ko us ki talwar kha gai hai
aisi hi ek jaDi hai us ne jahan jaDi hai
kya 'mir' sar jhukawen har kam-baghal ke aage
nam-e-KHuda unhon ki izzat bahut baDi hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1045
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.