kis taur hamein koi faribinda lubha le
kis taur hameñ koī farībinda lubhā le
āḳhir haiñ tirī āñkhoñ ke ham dekhne vaale
sau zulm uThā.e to kabhū duur se dekhā
hargiz na huā ye ki hameñ paas bulā le
us shoḳh kī sar-tez palak haiñ ki vo kāñTā
gaḌ jaa.e agar aañkh meñ sar dil se nikāle
ishq un ko hai jo yaar ko apne dam-e-raftan
karte nahīñ ġhairat se ḳhudā ke bhī havāle
ve din ga.e jo zabt kī tāqat thī hameñ bhī
ab dīda-e-ḳhūñ-bār nahīñ jaate sañbhāle
ahvāl bahut tang hai ai kaash mohabbat
ab dast-e-talattuf ko mire sar se uThā le
dā'vā-e-qayāmat kā mire ḳhauf use kyā
ik lutf meñ vo mujh se tunak-rū ko manā le
kahte haiñ hijāb-e-ruḳh-e-dildār hai hastī
dekheñge agar yuuñ hai bhalā jaan bhī jā le
'mīr' us se na mil aah ki Darte haiñ mabādā
bebāk hai vo shoḳh kahīñ maar na Daale
kis taur hamein koi faribinda lubha le
aaKHir hain teri aankhon ke hum dekhne wale
sau zulm uThae to kabhu dur se dekha
hargiz na hua ye ki hamein pas bula le
us shoKH ki sar-tez palak hain ki wo kanTa
gaD jae agar aankh mein sar dil se nikale
ishq un ko hai jo yar ko apne dam-e-raftan
karte nahin ghairat se KHuda ke bhi hawale
we din gae jo zabt ki taqat thi hamein bhi
ab dida-e-KHun-bar nahin jate sanbhaale
ahwal bahut tang hai ai kash mohabbat
ab dast-e-talattuf ko mere sar se uTha le
da'wa-e-qayamat ka mere KHauf use kya
ek lutf mein wo mujh se tunak-ru ko mana le
kahte hain hijab-e-ruKH-e-dildar hai hasti
dekhenge agar yun hai bhala jaan bhi ja le
'mir' us se na mil aah ki Darte hain mabaada
bebak hai wo shoKH kahin mar na Dale
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0480
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.