lazzat se dard ki jo koi aashna nahin
lazzat se dard kī jo koī āshnā nahīñ
sau lutf kyoñ na jam.a hoñ us meñ maza nahīñ
har aan kyā evaz hai duā kā badī vale
tum kyā karo bhale kā zamāna rahā nahīñ
rū-e-suḳhan jo hai to mirā chashm-e-dil kī or
tum se ḳhudā-na-ḳhāsta mujh ko gila nahīñ
talvār hī khiñchā kī tire hote bazm meñ
baiThā hai kab tū aa ke ki fitna uThā nahīñ
mil dekhe aise dilbar-e-harjā.ī se koī
bejā nahīñ hai dil jo hamārā bajā nahīñ
ho tum jo mere hairatī-e-fart-e-shauq-e-vasl
kyā jaano dil kisū se tumhārā lagā nahīñ
ā.īne par se Tuk nahīñ uThtī tirī nazar
is shauq-kash ke muñh se tujhe kuchh hayā nahīñ
rang aur bū to dilkash o dilchasp haiñ kamāl
lekin hazār-haif ki gul meñ vafā nahīñ
tīr-e-sitam kā tere hadaf kab talak rahūñ
āḳhir jigar hai lohe kā koī tavā nahīñ
un ne to āñkheñ muuñd liyāñ haiñ idhar se vaañ
ek-ādh din meñ dekhiye yaañ kyā hai kyā nahīñ
uThte ho 'mīr' dair se to ka.abe chal raho
maġhmūm kaahe ko ho tumhāre ḳhudā nahī
lazzat se dard ki jo koi aashna nahin
sau lutf kyon na jama hon us mein maza nahin
har aan kya ewaz hai dua ka badi wale
tum kya karo bhale ka zamana raha nahin
ru-e-suKHan jo hai to mera chashm-e-dil ki or
tum se KHuda-na-KHasta mujh ko gila nahin
talwar hi khincha ki tere hote bazm mein
baiTha hai kab tu aa ke ki fitna uTha nahin
mil dekhe aise dilbar-e-harjai se koi
beja nahin hai dil jo hamara baja nahin
ho tum jo mere hairati-e-fart-e-shauq-e-wasl
kya jaano dil kisu se tumhaara laga nahin
aaine par se Tuk nahin uThti teri nazar
is shauq-kash ke munh se tujhe kuchh haya nahin
rang aur bu to dilkash o dilchasp hain kamal
lekin hazar-haif ki gul mein wafa nahin
tir-e-sitam ka tere hadaf kab talak rahun
aaKHir jigar hai lohe ka koi tawa nahin
un ne to aankhen mund liyan hain idhar se wan
ek-adh din mein dekhiye yan kya hai kya nahin
uThte ho 'mir' dair se to kabe chal raho
maghmum kahe ko ho tumhaare KHuda nahi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0905
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.