Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farhad hath teshe pe Tuk rah ke Dalta

Meer Taqi Meer

farhad hath teshe pe Tuk rah ke Dalta

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    farhād haath teshe pe Tuk rah ke Dāltā

    patthar tale haath apnā nikāltā

    bigḌā agar vo shoḳh to suniyo ki rah gayā

    ḳhurshīd apnī teġh-o-sipar sañbhāltā

    ye sar tabhī se guue hai maidān-e-ishq

    phirtā thā jin dinoñ maiñ to geñdeñ uchhāltā

    bin sar ke phoḌe bantī na thī kohkan ke tiiñ

    ḳhusrav se sang-e-sīna ko kis taur Tāltā

    chhātī se ek baar lagātā jo vo to 'mīr'

    barsoñ ye zaḳhm siine ham ko na sāltā

    farhad hath teshe pe Tuk rah ke Dalta

    patthar tale ka hath hi apna nikalta

    bigDa agar wo shoKH to suniyo ki rah gaya

    KHurshid apni tegh-o-sipar hi sanbhaalta

    ye sar tabhi se gue hai maidan-e-ishq ka

    phirta tha jin dinon main to genden uchhaalta

    bin sar ke phoDe banti na thi kohkan ke tin

    KHusraw se sang-e-sina ko kis taur Talta

    chhati se ek bar lagata jo wo to 'mir'

    barson ye zaKHm sine ka hum ko na salta

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0019

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now