Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwah mujhse laD gaya ab KHwah mujhse mil gaya

Meer Taqi Meer

KHwah mujhse laD gaya ab KHwah mujhse mil gaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ḳhvāh mujh se laḌ gayā ab ḳhvāh mujh se mil gayā

    kyā kahūñ ai ham-nashīñ maiñ tujh se hāsil dil gayā

    apne dil ko na ho vāshud to kyā hāsil nasīm

    go chaman meñ ġhuncha-e-pazhmurda tujh se khil gayā

    dil se āñkhoñ meñ lahū aatā hai shāyad raat ko

    kashmakash meñ be-qarārī ye phoḌā chhil gayā

    qais kyā kyā gayā ūdhar dil-o-dīñ hosh-o-sabr

    jis taraf sahrā se lailā chalā mahmil gayā

    rashk jāgah hai marg us kushta-e-hasrat 'mīr'

    na.ash ke hamrāh jis gor tak qātil gayā

    KHwah mujh se laD gaya ab KHwah mujh se mil gaya

    kya kahun ai ham-nashin main tujh se hasil dil gaya

    apne hi dil ko na ho washud to kya hasil nasim

    go chaman mein ghuncha-e-pazhmurda tujh se khil gaya

    dil se aankhon mein lahu aata hai shayad raat ko

    kashmakash mein be-qarari ki ye phoDa chhil gaya

    qais ka kya kya gaya udhar dil-o-din hosh-o-sabr

    jis taraf sahra se laila ka chala mahmil gaya

    rashk ki jagah hai marg us kushta-e-hasrat ki 'mir'

    nash ke hamrah jis ki gor tak qatil gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now