Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh ab firaq ka humse saha nahin jata

Meer Taqi Meer

dukh ab firaq ka humse saha nahin jata

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dukh ab firāq ham se sahā nahīñ jaatā

    phir us pe zulm ye hai kuchh kahā nahīñ jaatā

    huī hai itnī tire aks-e-zulf hairāñ

    ki mauj-e-bahr se mutlaq bahā nahīñ jaatā

    nahīñ guzartī ghaḌī koī mujh ḳharāb par aah

    ki jis meñ ġham se tire Dhahā nahīñ jaatā

    sitam kuchh aaj galī meñ tirī nahīñ mujh par

    kab aa ke ḳhuun meñ maiñ yaañ nahā nahīñ jaatā

    ḳharāb mujh ko kiyā iztirāb-e-dil ne 'mīr'

    ki Tuk bhī is kane us bin rahā nahīñ jaatā

    dukh ab firaq ka hum se saha nahin jata

    phir us pe zulm ye hai kuchh kaha nahin jata

    hui hai itni tere aks-e-zulf ki hairan

    ki mauj-e-bahr se mutlaq baha nahin jata

    nahin guzarti ghaDi koi mujh KHarab par aah

    ki jis mein gham se tere ji Dhaha nahin jata

    sitam kuchh aaj gali mein teri nahin mujh par

    kab aa ke KHun mein main yan naha nahin jata

    KHarab mujh ko kiya iztirab-e-dil ne 'mir'

    ki Tuk bhi is kane us bin raha nahin jata

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0061

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now