aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya

Meer Taqi Meer

jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    jīte-jī kūcha-e-dildār se jaayā na gayā

    us dīvār sar se mire saaya na gayā

    kāv-kāve mizha-e-yār o dil-e-zār-o-nazār

    guth ga.e aise shitābī ki chhuḌāyā na gayā

    vo to kal der talak dekhtā īdhar ko rahā

    ham se hāl-e-tabāh apnā dikhāyā na gayā

    garm-rau rāh-e-fanā nahīñ ho saktā patañg

    us se to sham.a-namat sar bhī kaTāyā na gayā

    pās-e-nāmūs-e-mohabbat thā ki farhād ke paas

    be-sutūñ sāmne se apne uThāyā na gayā

    ḳhaak tak kūcha-e-dildār chhānī ham ne

    justujū pe dil-e-gum-shuda paayā na gayā

    ātish-e-tez judā.ī meñ yakāyak us bin

    dil jalā yuuñ ki tanik bhī jalāyā na gayā

    mah ne aa sāmne shab yaad dilāyā thā use

    phir vo sub.h mire se bhulāyā na gayā

    zer-e-shamshīr-e-sitam 'mīr' taḌapnā kaisā

    sar bhī taslīm-e-mohabbat meñ hilāyā na gayā

    meñ aatā hai ki kuchh aur bhī mauzūñ kiije

    dard-e-dil ek ġhazal meñ to sunāyā na gayā

    jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya

    us ki diwar ka sar se mere saya na gaya

    kaw-kawe mizha-e-yar o dil-e-zar-o-nazar

    guth gae aise shitabi ki chhuDaya na gaya

    wo to kal der talak dekhta idhar ko raha

    hum se hi haal-e-tabah apna dikhaya na gaya

    garm-rau rah-e-fana ka nahin ho sakta patang

    us se to shama-namat sar bhi kaTaya na gaya

    pas-e-namus-e-mohabbat tha ki farhad ke pas

    be-sutun samne se apne uThaya na gaya

    KHak tak kucha-e-dildar ki chhani hum ne

    justuju ki pe dil-e-gum-shuda paya na gaya

    aatish-e-tez judai mein yakayak us bin

    dil jala yun ki tanik ji bhi jalaya na gaya

    mah ne aa samne shab yaad dilaya tha use

    phir wo ta subh mere ji se bhulaya na gaya

    zer-e-shamshir-e-sitam 'mir' taDapna kaisa

    sar bhi taslim-e-mohabbat mein hilaya na gaya

    ji mein aata hai ki kuchh aur bhi mauzun kije

    dard-e-dil ek ghazal mein to sunaya na gaya

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0065

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now