Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul mein uski si jo bu aai to aaya na gaya

Meer Taqi Meer

gul mein uski si jo bu aai to aaya na gaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    gul meñ us jo aa.ī to aaya na gayā

    ham ko bin dosh-e-havā baaġh se laayā na gayā

    aah jo niklī mire muñh se to aflāk ke paas

    us ke āshob ke ohde se bar aaya na gayā

    gul ne har-chand kahā baaġh meñ rah par us bin

    jo uchTā to kisū tarah lagāyā na gayā

    sar-nashīn-e-rah-e-mai-ḳhāna huuñ maiñ kyā jānūñ

    rasm-e-masjid ke ta.iiñ shaiḳh ki aaya na gayā

    haif ve jin ke vo us vaqt maiñ pahuñchā jis vaqt

    un kane haal ishāroñ se batāyā na gayā

    muntazir us ke karaḳht ho ga.e baiThe baiThe

    jis ke murde ko uThāyā so liTāyā na gayā

    ḳhatar-e-rāh-e-mohabbat kahīñ juuñ harf miTe

    jis se is tarf ko qāsid bhī chalāyā na gayā

    ḳhauf-e-āshob se ġhauġhā-e-qayāmat ke liye

    ḳhūn-e-ḳhvābīda-e-ushshāq jagāyā na gayā

    'mīr' mat uzr garebāñ ke phaTe rahne kar

    zaḳhm-e-dil chāk-e-jigar thā ki silāyā na gayā

    gul mein us ki si jo bu aai to aaya na gaya

    hum ko bin dosh-e-hawa bagh se laya na gaya

    aah jo nikli mere munh se to aflak ke pas

    us ke aashob ke ohde se bar aaya na gaya

    gul ne har-chand kaha bagh mein rah par us bin

    ji jo uchTa to kisu tarah lagaya na gaya

    sar-nashin-e-rah-e-mai-KHana hun main kya jaanun

    rasm-e-masjid ke tain shaiKH ki aaya na gaya

    haif we jin ke wo us waqt main pahuncha jis waqt

    un kane haal ishaaron se bataya na gaya

    muntazir us ke karaKHt ho gae baiThe baiThe

    jis ke murde ko uThaya so liTaya na gaya

    KHatar-e-rah-e-mohabbat kahin jun harf miTe

    jis se is tarf ko qasid bhi chalaya na gaya

    KHauf-e-ashob se ghaugha-e-qayamat ke liye

    KHun-e-KHwabida-e-ushshaq jagaya na gaya

    'mir' mat uzr gareban ke phaTe rahne ka kar

    zaKHm-e-dil chaak-e-jigar tha ki silaya na gaya

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0067

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now