Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

galiyon mein ab talak to mazkur hai hamara

Meer Taqi Meer

galiyon mein ab talak to mazkur hai hamara

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    galiyoñ meñ ab talak to mazkūr hai hamārā

    afsāna-e-mohabbat mash.hūr hai hamārā

    maqsūd ko to dekheñ kab tak pahuñchte haiñ ham

    bil-fe’l ab irāda tā-gor hai hamārā

    kyā aarzū thī jis se sab chashm ho ga.e haiñ

    har zaḳhm sau jagah se nāsūr hai hamārā

    taiñ aah 'ishq-bāzī chaupaḌ 'ajab bichā.ī

    kachchī paḌīñ haiñ nardeñ ghar duur hai hamārā

    tā-chand pusht-e-pā par sharm-o-hayā se āñkheñ

    ahvāl kuchh bhī tum ko manzūr hai hamārā

    be-tāqatī kareñ to tum bhī mu'āf rakhiyo

    kyā kījiye ki dil bhī majbūr hai hamārā

    haiñ musht-e-ḳhāk lekin jo kuchh haiñ 'mīr' ham haiñ

    maqdūr se ziyāda maqdūr hai hamārā

    galiyon mein ab talak to mazkur hai hamara

    afsana-e-mohabbat mashhur hai hamara

    maqsud ko to dekhen kab tak pahunchte hain hum

    bil-fe’l ab irada ta-gor hai hamara

    kya aarzu thi jis se sab chashm ho gae hain

    har zaKHm sau jagah se nasur hai hamara

    tain aah 'ishq-bazi chaupaD 'ajab bichai

    kachchi paDin hain narden ghar dur hai hamara

    ta-chand pusht-e-pa par sharm-o-haya se aankhen

    ahwal kuchh bhi tum ko manzur hai hamara

    be-taqati karen to tum bhi mu'af rakhiyo

    kya kijiye ki dil bhi majbur hai hamara

    hain musht-e-KHak lekin jo kuchh hain 'mir' hum hain

    maqdur se ziyaada maqdur hai hamara

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0069

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now