Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rona Tuk ek thama to gham-e-bekaran saha

Meer Taqi Meer

rona Tuk ek thama to gham-e-bekaran saha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ronā Tuk ik thamā to ġham-e-bekarāñ sahā

    das din rahe jahān meñ ham so rahā dahā

    pahlū meñ ik girah tah-e-ḳhāk saath hai

    shāyad ki mar ga.e pe bhī ḳhātir meñ kuchh rahā

    āñkhoñ ne rāzdārī mohabbat ḳhuub

    aañsū jo aate aate rahe to lahū bahā

    aa.e the ik umiid pe terī galī meñ ham

    so aah is tarah se chale lohū meñ nahā

    kis kis tarah se 'mīr' ne kaaTā hai umr ko

    ab āḳhir āḳhir aan ke ye reḳhta kahā

    rona Tuk ek thama to gham-e-bekaran saha

    das din rahe jahan mein hum so raha daha

    pahlu mein ek girah si tah-e-KHak sath hai

    shayad ki mar gae pe bhi KHatir mein kuchh raha

    aankhon ne raazdari mohabbat ki KHub ki

    aansu jo aate aate rahe to lahu baha

    aae the ek umid pe teri gali mein hum

    so aah is tarah se chale lohu mein naha

    kis kis tarah se 'mir' ne kaTa hai umr ko

    ab aaKHir aaKHir aan ke ye reKHta kaha

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0072

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now