Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir shab na lutf tha na wo majlis mein nur tha

Meer Taqi Meer

phir shab na lutf tha na wo majlis mein nur tha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    phir shab na lutf thā na vo majlis meñ nuur thā

    us rū-e-dil-faroz sab meñ zuhūr thā

    kyā kyā aziiz ḳhal'-e-badan haa.e kar ga.e

    tashrīf tum ko yaañ ta.iiñ laanā zarūr thā

    kyūñkar merī aañkh se ho dil talak gayā

    ye bahr-e-mauj-ḳhez to 'asr-ul-'ubūr thā

    shāyad nashe meñ us se ye saffākiyāñ huiiñ

    zaḳhmī jo us ke haath niklā so chuur thā

    jiite paas ho ke na niklā kisū ke 'mīr'

    vo daur-gard-e-bādiya-e-ishq duur thā

    phir shab na lutf tha na wo majlis mein nur tha

    us ru-e-dil-faroz ka sab mein zuhur tha

    kya kya aziz KHal'-e-badan hae kar gae

    tashrif tum ko yan tain lana zarur tha

    kyunkar tu meri aankh se ho dil talak gaya

    ye bahr-e-mauj-KHez to 'asr-ul-'ubur tha

    shayad nashe mein us se ye saffakiyan huin

    zaKHmi jo us ke hath ka nikla so chur tha

    jite ji pas ho ke na nikla kisu ke 'mir'

    wo daur-gard-e-baadiya-e-ishq dur tha

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0091

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now