aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us chehre ki KHubi se abas gul ko jataya

Meer Taqi Meer

us chehre ki KHubi se abas gul ko jataya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    us chehre ḳhūbī se 'abas gul ko jatāyā

    ye kaun shagūfa chaman-zār meñ laayā

    vo ā.ina-ruḳhsār dam-e-bāz-pas aaya

    jab his na rahā ham ko to dīdār dikhāyā

    kuchh maah meñ us meñ na tafāvut huā zāhir

    sau baar nikālā use aur us ko chhupāyā

    ik 'umr mujhe ḳhaak meñ milte hue guzrī

    kūche meñ tire aan ke lohū meñ nahāyā

    samjhā mujhe marg ke nazdīk pas-az-der

    rahmat hai mire yaar bahut duur se aaya

    ye baaġh rahā ham se vale na sake ham

    be-bāl-o-parī ne bhī hameñ ḳhuub uḌāyā

    maiñ said-e-ramīda huuñ bayābān-e-junūñ

    rahtā hai mirā mūjib-e-vahshat mirā saayā

    qāfla-dar-qāfla in rastoñ meñ the log

    aise ga.e yaañ se ki phir khoj na paayā

    maiñ ne rakhā hai dar-e-tarsā-bachagāñ par

    rakhiyo mirī sharm buḌhāpe meñ ḳhudāyā

    Taalā nahīñ kuchh mujh ko patang aaj uḌāte

    bahutoñ ke ta.iiñ baav ruḳh un ne batāyā

    aise but-e-be-mehr se miltā hai koī bhī

    dil 'mīr' ko bhārī thā jo patthar se lagāyā

    us chehre ki KHubi se 'abas gul ko jataya

    ye kaun shagufa sa chaman-zar mein laya

    wo aaina-ruKHsar dam-e-baz-pas aaya

    jab his na raha hum ko to didar dikhaya

    kuchh mah mein us mein na tafawut hua zahir

    sau bar nikala use aur us ko chhupaya

    ek 'umr mujhe KHak mein milte hue guzri

    kuche mein tere aan ke lohu mein nahaya

    samjha tu mujhe marg ke nazdik pas-az-der

    rahmat hai mere yar bahut dur se aaya

    ye bagh raha hum se wale ja na sake hum

    be-baal-o-pari ne bhi hamein KHub uDaya

    main said-e-ramida hun bayaban-e-junun ka

    rahta hai mera mujib-e-wahshat mera saya

    ya qafla-dar-qafla in raston mein the log

    ya aise gae yan se ki phir khoj na paya

    ru main ne rakha hai dar-e-tarsa-bachagan par

    rakhiyo tu meri sharm buDhape mein KHudaya

    Tala nahin kuchh mujh ko patang aaj uDate

    bahuton ke tain baw ka ruKH un ne bataya

    aise but-e-be-mehr se milta hai koi bhi

    dil 'mir' ko bhaari tha jo patthar se lagaya

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0106

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now