Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHat munh pe aae jaanan KHubi pe jaan dega

Meer Taqi Meer

KHat munh pe aae jaanan KHubi pe jaan dega

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ḳhat muñh pe aa.e jānāñ ḳhūbī pe jaan degā

    nā-chār āshiqoñ ko ruḳhsat ke paan degā

    saare ra.iis a.azā haiñ ma'riz-e-talaf meñ

    ye ishq-e-be-muhābā kis ko amaan degā

    pā-e-pur-ābla se maiñ gum-shuda gayā huuñ

    har ḳhaar bādiye merā nishān degā

    daaġh aur siine meñ kuchh bigḌī hai ishq dekheñ

    dil ko jigar ko kis ko ab darmiyān degā

    naala hamārā har shab guzre hai āsmāñ se

    fariyād par hamārī kis din kaan degā

    mat raġhm se hamāre pyāre hinā lagāo

    pā-bos par tumhāre sar sau javān degā

    ho jo nishāna us ai bul-havas samajh kar

    tīroñ ke maare saare siine ko chhān degā

    us barhaman-pisar ke qashqe pe marte haiñ ham

    Tuk degā to goyā ham ko daan degā

    ghar chashm Dubo mat dil ke ga.e pe ro ro

    kyā 'mīr' haath se ye bhī makān degā

    KHat munh pe aae jaanan KHubi pe jaan dega

    na-chaar aashiqon ko ruKHsat ke pan dega

    sare rais aaza hain ma'riz-e-talaf mein

    ye ishq-e-be-muhaba kis ko aman dega

    pa-e-pur-abla se main gum-shuda gaya hun

    har KHar baadiye ka mera nishan dega

    dagh aur sine mein kuchh bigDi hai ishq dekhen

    dil ko jigar ko kis ko ab darmiyan dega

    nala hamara har shab guzre hai aasman se

    fariyaad par hamari kis din tu kan dega

    mat raghm se hamare pyare hina lagao

    pa-bos par tumhaare sar sau jawan dega

    ho jo nishana us ka ai bul-hawas samajh kar

    tiron ke mare sare sine ko chhan dega

    us barhaman-pisar ke qashqe pe marte hain hum

    Tuk dega ru to goya ji hum ko dan dega

    ghar chashm ka Dubo mat dil ke gae pe ro ro

    kya 'mir' hath se tu ye bhi makan dega

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0111

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now