aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barha wadon ki raaten aaiyan

Meer Taqi Meer

barha wadon ki raaten aaiyan

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    bārhā va.adoñ rāteñ ā.iyāñ

    tāle.oñ ne sub.h kar dikhlā.iyāñ

    ishq meñ īzā.eñ sab se pā.iyāñ

    rah ga.e aañsū to āñkheñ ā.iyāñ

    zill-e-haq ham ko bhī vūhīñ chāhiye

    juuñ hamārī hotī haiñ parchhā.iyāñ

    us mizha barham-zada ne bārhā

    āshiqoñ meñ barchhiyāñ chalvā.iyāñ

    naunihāl aage tire haiñ jaisī hoñ

    Dāliyāñ TuuTī huiiñ murjhā.iyāñ

    ek bhī chashmak na us mah

    āñkheñ tāroñ ne bahut jhamkā.iyāñ

    ek ne sūrat na pakḌī pesh-e-yār

    dil meñ shakleñ saiñkaḌoñ Thahrā.iyāñ

    rūyat apnī us galī meñ kam nahīñ

    har jagah har baar māreñ khā.iyāñ

    bosa lene kiyā jis dam savāl

    un ne bāteñ hameñ batlā.iyāñ

    rū-kashī ko us muñh bhī chāhiye

    maah ke chehre pe haiñ sab jhā.iyāñ

    muztarib ho kar kiyā sab meñ subuk

    dil ne āḳhir ḳhiffateñ dilvā.iyāñ

    chal chaman meñ ye bhī hai koī ravish

    naaz taake chand be-parvā.iyāñ

    shauq-e-qāmat meñ tire ai naunihāl

    gul shāḳheñ letī haiñ añgḌā.iyāñ

    paas mujh ko bhī nahīñ hai 'mīr' ab

    duur pahuñchī haiñ mirī rusvā.iyāñ

    barha wadon ki raaten aaiyan

    taleon ne subh kar dikhlaiyan

    ishq mein izaen sab se paiyan

    rah gae aansu to aankhen aaiyan

    zill-e-haq hum ko bhi wuhin chahiye

    jun hamari hoti hain parchhaiyan

    us mizha barham-zada ne barha

    aashiqon mein barchhiyan chalwaiyan

    naunihaal aage tere hain jaisi hon

    Daliyan TuTi huin murjhaiyan

    ek bhi chashmak na us mah ki si ki

    aankhen taron ne bahut jhamkaiyan

    ek ne surat na pakDi pesh-e-yar

    dil mein shaklen sainkaDon Thahraiyan

    ruyat apni us gali mein kam nahin

    har jagah har bar maren khaiyan

    bosa lene ka kiya jis dam sawal

    un ne baaten hi hamein batlaiyan

    ru-kashi ko us ki munh bhi chahiye

    mah ke chehre pe hain sab jhaiyan

    muztarib ho kar kiya sab mein subuk

    dil ne aaKHir KHiffaten dilwaiyan

    chal chaman mein ye bhi hai koi rawish

    naz take chand be-parwaiyan

    shauq-e-qamat mein tere ai naunihaal

    gul ki shaKHen leti hain angDaiyan

    pas mujh ko bhi nahin hai 'mir' ab

    dur pahunchi hain meri ruswaiyan

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0319

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now