Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun kahta hai munh ko kholo tum

Meer Taqi Meer

kaun kahta hai munh ko kholo tum

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kaun kahtā hai muñh ko kholo tum

    kāshke parde meñ bolo tum

    hukm-e-āb-e-ravāñ rakhe hai husn

    bahte dariyā meñ haath dho lo tum

    kyā sarāheñ ham apnī jins ko lek

    dil ajab hai matā.a jo lo tum

    jaanā aaya hai ab jahāñ se hameñ

    thoḌī to duur saath ho lo tum

    jab mayassar ho bosa us lab

    chupke ho raho na bolo tum

    panja marjāñ phir dharā rahe

    haath ḳhuuñ meñ mire Dubo lo tum

    dast de hai kise palak mail

    dil jahāñ paao ab piro lo tum

    aate haiñ muttasil chale aañsū

    aah kab tak ye motī rolo tum

    raat guzrī hai sab taḌapte 'mīr'

    aañkh lag jaa.e Tuk to so lo tum

    kaun kahta hai munh ko kholo tum

    kashke parde hi mein bolo tum

    hukm-e-ab-e-rawan rakhe hai husn

    bahte dariya mein hath dho lo tum

    kya sarahen hum apni jins ko lek

    dil ajab hai mataa jo lo tum

    jaana aaya hai ab jahan se hamein

    thoDi to dur sath ho lo tum

    jab mayassar ho bosa us lab ka

    chupke hi ho raho na bolo tum

    panja marjaan ka phir dhara hi rahe

    hath KHun mein mere Dubo lo tum

    dast de hai kise palak si mail

    dil jahan pao ab piro lo tum

    aate hain muttasil chale aansu

    aah kab tak ye moti rolo tum

    raat guzri hai sab taDapte 'mir'

    aankh lag jae Tuk to so lo tum

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0861

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now