aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap us jins ke hain hum bhi KHaridaron mein

Meer Taqi Meer

aap us jins ke hain hum bhi KHaridaron mein

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    aap us jins ke haiñ ham bhī ḳharīdāroñ meñ

    pagḌī jaame bike jis ke liye bāzāroñ meñ

    bāġh-e-firdaus hai rashk vo kūcha lekin

    aadmī ek nahīñ us ke havā-dāroñ meñ

    ek ke bhī vo bure haal meñ aaya na kabhū

    log achchhe the bahut yaar ke bīmāroñ meñ

    dostī kis se huī aañkh kahāñ ke laḌī

    dushmanī aa.ī jise dekhte yāroñ meñ

    haa.e re haath jahāñ choT paḌī do kiyā

    al-ġharaz ek hai vo shoḳh sitamgāroñ meñ

    kashmakash jis ke liye ye hai shumār-e-dam ye

    un ne ham ko na ginā apne giraftāroñ meñ

    kaisī kaisī hai anāsir meñ bhī sūrat-bāzī

    sho.abde lākhoñ tarah ke haiñ inhīñ chāroñ meñ

    mushfiqo haath mire bāñdho ki ab ke har dam

    ulajhte haiñ garebān ke do tāroñ meñ

    hasb-e-qismat sabhoñ ne khaa.e tirī teġh ke zaḳhm

    nā-kas ik nikle hamīñ ḳhuuñ ke sazā-vāroñ meñ

    iztirāb-o-qalaq-o-zo.af haiñ gar 'mīr' yahī

    zindagī ho chukī to apnī in āzāroñ meñ

    aap us jins ke hain hum bhi KHaridaron mein

    pagDi jame bike jis ke liye bazaron mein

    bagh-e-firdaus ka hai rashk wo kucha lekin

    aadmi ek nahin us ke hawa-daron mein

    ek ke bhi wo bure haal mein aaya na kabhu

    log achchhe the bahut yar ke bimaron mein

    dosti kis se hui aankh kahan ja ke laDi

    dushmani aai jise dekhte hi yaron mein

    hae re hath jahan choT paDi do hi kiya

    al-gharaz ek hai wo shoKH sitamgaron mein

    kashmakash jis ke liye ye hai shumar-e-dam ye

    un ne hum ko na gina apne giraftaron mein

    kaisi kaisi hai anasir mein bhi surat-bazi

    shoabde lakhon tarah ke hain inhin chaaron mein

    mushfiqo hath mere bandho ki ab ke har dam

    ja ulajhte hain gareban ke do taron mein

    hasb-e-qismat sabhon ne khae teri tegh ke zaKHm

    na-kas ek nikle hamin KHun ke saza-waron mein

    iztirab-o-qalaq-o-zoaf hain gar 'mir' yahi

    zindagi ho chuki to apni in aazaron mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now