Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun ne tamasha banaya hamein

Meer Taqi Meer

junun ne tamasha banaya hamein

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    junūñ ne tamāshā banāyā hameñ

    rahā dekh apnā parāyā hameñ

    sadā ham to kho.e ga.e se rahe

    kabhū aap meñ tum ne paayā hameñ

    yahī tā-dam-e-marg betāb the

    na us bin tanik sabr aaya hameñ

    shab āñkhoñ se dariyā bahtā rahā

    inhīñ ne kināre lagāyā hameñ

    hamārā nahīñ tum ko kuchh pās-e-ranj

    ye kyā tum ne samjhā hai aaya hameñ

    lagī sar se juuñ sham.a tak ga.ī

    sab is daaġh ne aah khāyā hameñ

    jaleñ pesh-o-pas jaise sham.a-o-patang

    jalā vo bhī jin ne jalāyā hameñ

    azal meñ milā kyā na aalam ke tiiñ

    qazā ne yahī dil dilāyā hameñ

    rahā to aksar alam-nāk 'mīr'

    tirā taur kuchh ḳhush na aaya hameñ

    junun ne tamasha banaya hamein

    raha dekh apna paraya hamein

    sada hum to khoe gae se rahe

    kabhu aap mein tum ne paya hamein

    yahi ta-dam-e-marg betab the

    na us bin tanik sabr aaya hamein

    shab aankhon se dariya sa bahta raha

    inhin ne kinare lagaya hamein

    hamara nahin tum ko kuchh pas-e-ranj

    ye kya tum ne samjha hai aaya hamein

    lagi sar se jun shama pa tak gai

    sab is dagh ne aah khaya hamein

    jalen pesh-o-pas jaise shama-o-patang

    jala wo bhi jin ne jalaya hamein

    azal mein mila kya na aalam ke tin

    qaza ne yahi dil dilaya hamein

    raha tu to aksar alam-nak 'mir'

    tera taur kuchh KHush na aaya hamein

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0903

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now