Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa Tuk shitab jate hain warna jahan se hum

Meer Taqi Meer

aa Tuk shitab jate hain warna jahan se hum

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    aa Tuk shitāb jaate haiñ varna jahāñ se ham

    kuchh ho rahe haiñ ġham meñ tire nīm-jāñ se ham

    har baat ke javāb meñ gaalī kahāñ talak

    ab jāñ-ba-lab hue haiñ tumhārī zabāñ se ham

    va.ada karo to soch lo muddat ko dil meñ bhī

    ye haal hai to der raheñge kahāñ se ham

    uljhāv dil jis se hai jhuñjhlā ke us baġhair

    jhagḌā kiyā kareñ haiñ zamīn āsmāñ se ham

    lāveñ hamārī ḳhaak par us kīna-var ko bhī

    ye kah mareñge apne har ik mehrbāñ se ham

    darbān-e-sang-dil ne ḳhabar vaañ talak na

    sar maar maar sub.h us āstāñ se ham

    jab us teġh rakhne lagā apne paas 'mīr'

    ummīd qat.a thī tabhī us javāñ se ham

    aa Tuk shitab jate hain warna jahan se hum

    kuchh ho rahe hain gham mein tere nim-jaan se hum

    har baat ke jawab mein gali kahan talak

    ab jaan-ba-lab hue hain tumhaari zaban se hum

    wada karo to soch lo muddat ko dil mein bhi

    ye haal hai to der rahenge kahan se hum

    uljhaw dil ka jis se hai jhunjhla ke us baghair

    jhagDa kiya karen hain zamin aasman se hum

    lawen hamari KHak par us kina-war ko bhi

    ye kah marenge apne har ek mehrban se hum

    darban-e-sang-dil ne KHabar wan talak na ki

    sar mar mar subh ki us aastan se hum

    jab us ki tegh rakhne laga apne pas 'mir'

    ummid qata ki thi tabhi us jawan se hum

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1171

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now