Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dushmanon ke ru-ba-ru dushnam hai

Meer Taqi Meer

dushmanon ke ru-ba-ru dushnam hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dushmanoñ ke rū-ba-rū dushnām hai

    ye bhī koī lutf-e-be-hangām hai

    mahv-e-zulf-e-yār hai aalam tamām

    husn bhī shohrā josh-e-shām hai

    ishq hai raah kyā mushkil-guzar

    sar jaanā jis meñ har ik gaam hai

    gar kahā nākām milne ko kabhī

    to ye kahtā hai ki mujh ko kaam hai

    roz-o-shab phirtā huuñ us kūche ke gird

    kyā kahūñ kyā gardish-e-ayyām hai

    chain din ko hai na shab ko ḳhvāb Tuk

    us duurī meñ kise ārām hai

    bazm meñ pūchhā to yuuñ anjān ho

    'mīr' in logoñ meñ kis naam hai

    dushmanon ke ru-ba-ru dushnam hai

    ye bhi koi lutf-e-be-hangam hai

    mahw-e-zulf-e-yar hai aalam tamam

    husn ka bhi shohra josh-e-sham hai

    ishq ki hai rah kya mushkil-guzar

    sar ka jaana jis mein har ek gam hai

    gar kaha nakaam milne ko kabhi

    to ye kahta hai ki mujh ko kaam hai

    roz-o-shab phirta hun us kuche ke gird

    kya kahun kya gardish-e-ayyam hai

    chain din ko hai na shab ko KHwab Tuk

    us ki duri mein kise aaram hai

    bazm mein puchha to yun anjaan ho

    'mir' in logon mein kis ka nam hai

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1294

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now