Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki baat kahi nahin jati chupke rahna Thana hai

Meer Taqi Meer

dil ki baat kahi nahin jati chupke rahna Thana hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dil baat kahī nahīñ jaatī chupke rahnā Thānā hai

    haal agar hai aisā to se jaanā jaanā hai

    us nigāh-e-tez hai mere dosh-o-bar par in rozoñ

    ya.anī dil pahlū meñ mere tīr-e-sitam nishāna hai

    dil jo rahe to paañv ko bhī dāman meñ ham khīñch rakheñ

    sub.h se le kar sāñjh talak ūdhar jaanā aanā hai

    surḳh kabhū aañsū haiñ hote zard kabhū hai muñh merā

    kyā kyā rang mohabbat ke haiñ ye bhī ek zamāna hai

    is naumīdī-e-be-ġhāyat par kis miqdār kuḌhā kariye

    do dam jiite rahnā hai to qayāmat tak mar jaanā hai

    fursat kam hai yaañ rahne baat nahīñ kuchh kahne

    āñkheñ khol ke kaan jo kholo bazm-e-jahāñ afsāna hai

    fā.eda hogā kyā mutarattib nāseh harza-darā.ī se

    kis nasīhat kaun sune hai āshiq to dīvāna hai

    teġh tale us kyoñ na gardan Daal ke baiTheñ

    sar to āḳhir-kār hameñ bhī ḳhaak or jhukānā hai

    āñkhoñ ye mardum-dārī dil ko kisū dilbar se hai

    tarz-e-nigah tarrārī saarī 'mīr' tumheñ pahchānā hai

    dil ki baat kahi nahin jati chupke rahna Thana hai

    haal agar hai aisa hi to ji se jaana jaana hai

    us ki nigah-e-tez hai mere dosh-o-bar par in rozon

    yani dil pahlu mein mere tir-e-sitam ka nishana hai

    dil jo rahe to panw ko bhi daman mein hum khinch rakhen

    subh se le kar sanjh talak udhar hi jaana aana hai

    surKH kabhu aansu hain hote zard kabhu hai munh mera

    kya kya rang mohabbat ke hain ye bhi ek zamana hai

    is naumidi-e-be-ghayat par kis miqdar kuDha kariye

    do dam jite rahna hai to qayamat tak mar jaana hai

    fursat kam hai yan rahne ki baat nahin kuchh kahne ki

    aankhen khol ke kan jo kholo bazm-e-jahan afsana hai

    faeda hoga kya mutarattib naseh harza-darai se

    kis ki nasihat kaun sune hai aashiq to diwana hai

    tegh tale hi us ki kyon na gardan Dal ke ja baiThen

    sar to aaKHir-kar hamein bhi KHak ki or jhukana hai

    aankhon ki ye mardum-dari dil ko kisu dilbar se hai

    tarz-e-nigah tarrari sari 'mir' tumhein pahchana hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Begum Akhtar

    Begum Akhtar

    Mohammad Rafi

    Mohammad Rafi

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1523

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now