Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya puchho ho kya kahiye miyan dil ne bhi kya kaam kiya

Meer Taqi Meer

kya puchho ho kya kahiye miyan dil ne bhi kya kaam kiya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā pūchho ho kyā kahiye miyāñ dil ne bhī kyā kaam kiyā

    ishq kiyā nākām rahā āḳhir ko kaam tamām kiyā

    ijz kiyā sau us mufsid ne qadr hamārī ye kuchh

    tyorī chaḌhā.ī ġhussa kiyā jab ham ne jhuk ke salām kiyā

    kahne bhī likhne bhī ham to qasam khā baiThe the

    āḳhir dil betābi se ḳhat bhejā paiġhām kiyā

    ishq tohmat jab na huī thī kaahe ko shohrat aisī thī

    shahr meñ ab rusvā haiñ ya.anī badnāmī se kaam kiyā

    registāñ meñ ke raheñ sangistāñ meñ ham jogī

    raat huī jis jāgah ham ko ham ne vahīñ bisrām kiyā

    ḳhatt-o-kitābat likhnā us ko tark kiyā thā is liye

    harf-o-suḳhan se Tapkā lohū ab jo kuchh irqām kiyā

    talḳh us to shahd-o-shakar hai zauq meñ ham nākāmoñ ke

    logoñ meñ lekin poch kahā ye lutf-e-be-hangām kiyā

    jaise koī jahāñ se jaave ruḳhsat is hasrat se hue

    us kūche se nikal kar ham ne rū-ba-qafā har gaam kiyā

    'mīr' jo un ne muñh ko idhar kar ham se koī baat kahī

    lutf kiyā ehsān kiyā in.aam kiyā ikrām kiyā

    kya puchho ho kya kahiye miyan dil ne bhi kya kaam kiya

    ishq kiya nakaam raha aaKHir ko kaam tamam kiya

    ijz kiya sau us mufsid ne qadr hamari ye kuchh ki

    tyori chaDhai ghussa kiya jab hum ne jhuk ke salam kiya

    kahne ki bhi likhne ki bhi hum to qasam kha baiThe the

    aaKHir dil ki betabi se KHat bheja paigham kiya

    ishq ki tohmat jab na hui thi kahe ko shohrat aisi thi

    shahr mein ab ruswa hain yani badnami se kaam kiya

    registan mein ja ke rahen ya sangistan mein hum jogi

    raat hui jis jagah hum ko hum ne wahin bisram kiya

    KHatt-o-kitabat likhna us ko tark kiya tha is hi liye

    harf-o-suKHan se Tapka lohu ab jo kuchh irqam kiya

    talKH us ka to shahd-o-shakar hai zauq mein hum nakaamon ke

    logon mein lekin poch kaha ye lutf-e-be-hangam kiya

    jaise koi jahan se jawe ruKHsat is hasrat se hue

    us kuche se nikal kar hum ne ru-ba-qafa har gam kiya

    'mir' jo un ne munh ko idhar kar hum se koi baat kahi

    lutf kiya ehsan kiya inam kiya ikram kiya

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1542

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now