Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere bande hum hain KHuda jaanta hai

Meer Taqi Meer

tere bande hum hain KHuda jaanta hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    tire bande ham haiñ ḳhudā jāntā hai

    ḳhudā jaane to ham ko kyā jāntā hai

    nahīñ ishq dard lazzat se ḳhālī

    jise zauq hai vo maza jāntā hai

    hamesha dil apnā jo bejā hai us bin

    mire qatl ko vo bajā jāntā hai

    gahe zer-e-burqa.a gahe gesuoñ meñ

    ġharaz ḳhuub vo muñh chhupā jāntā hai

    mujhe jaane hai aap farebī

    duā ko bhī merī daġhā jāntā hai

    jafā us pe kartā hai had se ziyāda

    jinheñ yaar ahl-e-vafā jāntā hai

    lagā le hai jhumke dikhā kar usī ko

    jise muġhbacha pārsā jāntā hai

    use jab na tab ham ne bigḌā paayā

    yahī achchhe muñh ko banā jāntā hai

    bilā-shor-añgez hai chaal us

    isī tarz ko ḳhushnumā jāntā hai

    na garmī jalātī thī aisī na sardī

    mujhe yaar jaisā jalā jāntā hai

    yahī hai sazā chāhne hamāre

    hameñ kushta-ḳhūñ ke sazā jāntā hai

    mire dil meñ rahtā hai tabhī to

    jo kuchh dil hai mudda.ā jāntā hai

    parī us ke saa.e ko bhī lag sake na

    vo is jins ko kyā balā jāntā hai

    jahāñ 'mīr' āshiq huā ḳhaar thā

    ye saudā.ī kab dil lagā jāntā hai

    tere bande hum hain KHuda jaanta hai

    KHuda jaane to hum ko kya jaanta hai

    nahin ishq ka dard lazzat se KHali

    jise zauq hai wo maza jaanta hai

    hamesha dil apna jo beja hai us bin

    mere qatl ko wo baja jaanta hai

    gahe zer-e-burqa gahe gesuon mein

    gharaz KHub wo munh chhupa jaanta hai

    mujhe jaane hai aap sa hi farebi

    dua ko bhi meri dagha jaanta hai

    jafa us pe karta hai had se ziyaada

    jinhen yar ahl-e-wafa jaanta hai

    laga le hai jhumke dikha kar usi ko

    jise mughbacha parsa jaanta hai

    use jab na tab hum ne bigDa hi paya

    yahi achchhe munh ko bana jaanta hai

    bila-shor-angez hai chaal us ki

    isi tarz ko KHushnuma jaanta hai

    na garmi jalati thi aisi na sardi

    mujhe yar jaisa jala jaanta hai

    yahi hai saza chahne ki hamare

    hamein kushta-KHun ke saza jaanta hai

    mere dil mein rahta hai tu hi tabhi to

    jo kuchh dil ka hai muddaa jaanta hai

    pari us ke sae ko bhi lag sake na

    wo is jins ko kya bala jaanta hai

    jahan 'mir' aashiq hua KHar hi tha

    ye saudai kab dil laga jaanta hai

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1782

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now