aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bandhe kamar sahar-gah aaya hai mere kin par

Meer Taqi Meer

bandhe kamar sahar-gah aaya hai mere kin par

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    bāñdhe kamar sahar-gah aaya hai mere kiiñ par

    jo hādisa falak se nāzil huā zamīñ par

    iqrār meñ kahāñ hai inkār ḳhūbī

    hotā hai shauq ġhālib us nahīñ nahīñ par

    kunj-e-qafas meñ jūñ-tūñ kāTeñge ham asīrāñ

    sair-e-chaman ke shāyāñ apne rahe nahīñ par

    juuñ āb-gīrī-karda shamshīr jarāhat

    hai har ḳharāsh-e-nāḳhun ruḳhsāra-o-jabīñ par

    āḳhir ko hai ḳhudā bhī to ai miyāñ jahāñ meñ

    bande ke kaam kuchh kyā mauqūf haiñ tumhīñ par

    ġhusse meñ aalam us kyā kyā nazar paḌā hai

    talvāreñ khiñchtiyāñ thiiñ us jabīñ chiiñ par

    the chashm-e-ḳhūñ-fishāñ par shāyad ki dast-o-dāman

    haiñ 'mīr' daaġh ḳhuuñ ke pairāhan āstīñ par

    bandhe kamar sahar-gah aaya hai mere kin par

    jo hadisa falak se nazil hua zamin par

    iqrar mein kahan hai inkar ki si KHubi

    hota hai shauq ghaalib us ki nahin nahin par

    kunj-e-qafas mein jun-tun kaTenge hum asiran

    sair-e-chaman ke shayan apne rahe nahin par

    jun aab-giri-karda shamshir ki jarahat

    hai har KHarash-e-naKHun ruKHsara-o-jabin par

    aaKHir ko hai KHuda bhi to ai miyan jahan mein

    bande ke kaam kuchh kya mauquf hain tumhin par

    ghusse mein aalam us ka kya kya nazar paDa hai

    talwaren khinchtiyan thin us ki jabin ki chin par

    the chashm-e-KHun-fishan par shayad ki dast-o-daman

    hain 'mir' dagh KHun ke pairahan aastin par

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1828

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now