munaqid kash majlis-e-mul ho
mun.aqid kaash majlis-e-mul ho
darmiyāñ tū ho sāmne gul ho
garmiyāñ muttasil raheñ bāham
nai tasāhul ho nai taġhāful ho
ab dhuāñ yuuñ jigar se uThtā hai
jaise pur-pech koī kākul ho
na to tāle.a na jazb phir dil ko
kis bharose pe Tuk tahammul ho
lag na chal ai nasīm-e-bāġh ki maiñ
rah gayā huuñ charāġh sā gul ho
adh-jalā laala saañ rahā to kyā
daaġh bhī ho to koī bilkul ho
tuul rakhtā hai dard-e-dil merā
likhne baiThūñ to ḳhat tarassul ho
hojo mujh bāda-kash ke urs meñ tū
jabki qulqul se shīshe kī qul ho
der rahne kī jā nahīñ ye chaman
bū-e-gul ho safīr-e-bulbul ho
mujh divāne kī mat hilā zanjīr
kahīñ aisā na ho ki phir ġhul ho
munkashif ho rahā hai hāl-e-'mīr'
kaash Tuk yaar ko ta.ammul ho
munaqid kash majlis-e-mul ho
darmiyan tu ho samne gul ho
garmiyan muttasil rahen baham
nai tasahul ho nai taghaful ho
ab dhuan yun jigar se uThta hai
jaise pur-pech koi kakul ho
na to talea na jazb phir dil ko
kis bharose pe Tuk tahammul ho
lag na chal ai nasim-e-bagh ki main
rah gaya hun charagh sa gul ho
adh-jala lala san raha to kya
dagh bhi ho to koi bilkul ho
tul rakhta hai dard-e-dil mera
likhne baiThun to KHat tarassul ho
hojo mujh baada-kash ke urs mein tu
jabki qulqul se shishe ki qul ho
der rahne ki ja nahin ye chaman
bu-e-gul ho safir-e-bulbul ho
mujh diwane ki mat hila zanjir
kahin aisa na ho ki phir ghul ho
munkashif ho raha hai haal-e-'mir'
kash Tuk yar ko tammul ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0916
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.