qasr-o-makan-o-manzil ekon ko sab jagah hai
qasr-o-makān-o-manzil ekoñ ko sab jagah hai
ekoñ ko jā nahīñ hai duniyā ajab jagah hai
us ke badan meñ har jā dil-kash hai yuuñ va-lekin
yā sat.h-e-ruḳh jagah hai yā kunj-e-lab jagah hai
past-o-bulandiyāñ haiñ arz-o-samā se zāhir
dekhā jahāñ ko ham ne kitnī kuDhab jagah hai
darvāze se lage ham tasvīr se khaḌe haiñ
vāraftgāñ ko us kī majlis meñ kab jagah hai
baare idhar kiyā hai muñh un ne 'mīr' apnā
ho harf-zan suḳhan kī tere bhī ab jagah hai
qasr-o-makan-o-manzil ekon ko sab jagah hai
ekon ko ja nahin hai duniya ajab jagah hai
us ke badan mein har ja dil-kash hai yun wa-lekin
ya sath-e-ruKH jagah hai ya kunj-e-lab jagah hai
past-o-bulandiyan hain arz-o-sama se zahir
dekha jahan ko hum ne kitni kuDhab jagah hai
darwaze se lage hum taswir se khaDe hain
waraftgan ko us ki majlis mein kab jagah hai
bare idhar kiya hai munh un ne 'mir' apna
ho harf-zan suKHan ki tere bhi ab jagah hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1308
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.