uski rahegi garmi-e-bazar kab talak
us kī rahegī garmī-e-bāzār kab talak
vo bechtā rahegā ḳharīdār kab talak
vā'd-o-va'īd-e-hashr qayāmat hai dekhiye
jiite raheñge tālib-e-dīdār kab talak
dil kā jigar kā lohū to ġham ne sukhā diyā
āñkheñ raheñgī dekhiye ḳhūñ-bār kab talak
nisbat bahut gunāhoñ kī kartā hai is taraf
be-jurm ham raheñge gunahgār kab talak
us kī nigāh-e-mast hai aksar sū-e-rabāt
suufī raheñge haal se hushiyār kab talak
dīvār-o-dar baḌe the jahāñ vaañ nishāñ nahīñ
yaañ ḳhānvādoñ ke raheñ āsār kab talak
mehmān koī din kā hai vārafta ishq kā
zāhir hai haal se ki ye bīmār kab talak
tarsā ke mārne meñ azāb-e-shadīd hai
ik khīñch kar na māroge talvār kab talak
sayyād asiir kar ke jise uTh gayā ho 'mīr'
vo daam kī shikan meñ giraftār kab talak
us ki rahegi garmi-e-bazar kab talak
wo bechta rahega KHaridar kab talak
wa'd-o-wa'id-e-hashr qayamat hai dekhiye
jite rahenge talib-e-didar kab talak
dil ka jigar ka lohu to gham ne sukha diya
aankhen rahengi dekhiye KHun-bar kab talak
nisbat bahut gunahon ki karta hai is taraf
be-jurm hum rahenge gunahgar kab talak
us ki nigah-e-mast hai aksar su-e-rabaat
sufi rahenge haal se hushiyar kab talak
diwar-o-dar baDe the jahan wan nishan nahin
yan KHanwadon ke rahen aasar kab talak
mehman koi din ka hai warafta ishq ka
zahir hai haal se ki ye bimar kab talak
tarsa ke marne mein azab-e-shadid hai
ek khinch kar na maroge talwar kab talak
sayyaad asir kar ke jise uTh gaya ho 'mir'
wo dam ki shikan mein giraftar kab talak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1833
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.