Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    laḌāo har kisī se yuuñ na tum be-sāḳhta āñkheñ

    kahīñ badnām na ho jaa.eñ shorat-yāfata āñkheñ

    muravvat rahm aur sharm-o-hayā un meñ nahīñ hotī

    dikhāne ke liye hotī haiñ jo ḳhud-sāḳhta āñkheñ

    kabhī ḳhud band ho kar rāh-e-dil masdūd kartī haiñ

    kabhī detī chalī jaatī haiñ dil tak rāsta āñkheñ

    kahīñ fitnagarī se haiñ sukūn-o-chain dushman

    kahīñ amn-o-amāñ haiñ nishānī fāḳhta āñkheñ

    kabhī dil bhī taḌaptā hai duhā.ī de ke āñkhoñ

    kabhī ro ro ke de jaatī haiñ dil vāsta āñkheñ

    nahīñ tāb-e-nazāra aur jalvoñ tamannā hai

    kahīñ andhī na ho jaa.eñ ḳhudā-na-ḳhvāsta āñkheñ

    chalā kuchh bhī na merā zor jab apnī biivī par

    dikhātā rah gayā meñ ho ke dil-bardashta āñkheñ

    nazar lagne Dar thā is liye bhī 'ḳhvāh-maḳhvāh' maiñ ne

    haTā leñ un ke ruḳh se bā-dil-e-na-ḳhvāsta āñkheñ

    hasīnoñ se nigāheñ 'ḳhvāh-maḳhvāh' tum kyuuñ laḌāte ho

    kahīñ kamzor na ho jaa.eñ pension-yāfta āñkheñ

    laDao har kisi se yun na tum be-saKHta aankhen

    kahin badnam na ho jaen shorat-yafata aankhen

    murawwat rahm aur sharm-o-haya un mein nahin hoti

    dikhane ke liye hoti hain jo KHud-saKHta aankhen

    kabhi KHud band ho kar rah-e-dil masdud karti hain

    kabhi deti chali jati hain dil tak rasta aankhen

    kahin fitnagari se hain sukun-o-chain ki dushman

    kahin amn-o-aman ki hain nishani faKHta aankhen

    kabhi dil bhi taDapta hai duhai de ke aankhon ki

    kabhi ro ro ke de jati hain dil ka wasta aankhen

    nahin tab-e-nazara aur jalwon ki tamanna hai

    kahin andhi na ho jaen KHuda-na-KHwasta aankhen

    chala kuchh bhi na mera zor jab apni hi biwi par

    dikhata rah gaya mein ho ke dil-bardashta aankhen

    nazar lagne ka Dar tha is liye bhi 'KHwah-maKHwah' main ne

    haTa len un ke ruKH se ba-dil-e-na-KHwasta aankhen

    hasinon se nigahen 'KHwah-maKHwah' tum kyun laDate ho

    kahin kamzor na ho jaen pension-yafta aankhen

    Source:

    Ba Farz-e-muhal (Urud Poetry) (Pg. E-58 B-59)

    • Author: Ghaus Khah makhah Hyderabadi
      • Edition: 1992
      • Publisher: Qalam Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now