Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaunre ki be-qarari

Suroor Jahanabadi

bhaunre ki be-qarari

Suroor Jahanabadi

MORE BYSuroor Jahanabadi

    na vo ketkī phaban rahī

    na vo motiyā adā rahī

    na vo nastaran na saman rahī

    na vo gul rahe na fazā rahī

    na guloñ ke ab haiñ vo qahqahe

    na vo bulbuloñ ke haiñ chahchahe

    na ġhazal-sarā vo koī rahe

    na vo qumriyoñ sadā rahī

    na vo sarv hai na vo āb-e-jū

    na vo ham-safīr haiñ ḳhush-gulū

    na banafsha hai na vo nāz-e-bū

    na vo ja.afrī na jafā rahī

    na vo sub.h haiñ tajalliyāñ

    na shafaq aah vo jhalkiyāñ

    na vo uudī uudī haiñ badliyāñ

    na vo bhīnī bhīnī havā rahī

    na umañgeñ haiñ vo shabāb

    na vo pattiyāñ haiñ gulāb

    na havā meñ hai sharāb

    mujhe mast thī jo binā rahī

    vo kañval ġhazab ke the dil-rubā

    jahāñ uḌte the mire ham-navā

    magar ab na un hai vo adā

    na vo rahī na safā rahī

    lab-e-ābjū thī fazā ġhazab

    vo bahār thī havā ajab

    mire kunj meñ mujhe roz-o-shab

    mai-e-be-ḳhudī thī pilā rahī

    vo ġhazab kū-kū vo zamzama

    vo surīlī dard-bharī sadā

    sar-e-shām sarv pe fāḳhta

    mujhe loriyāñ thī sunā rahī

    haiñ kañval ḳhushk jo pattiyāñ

    mirī ḳhvāb-gah thī kabhī yahāñ

    yahīñ shab ko de de ke thapkiyāñ

    thī nasīm mujh ko sulā rahī

    na guloñ meñ bū-e-vafā rahī

    na vo dil-rubā adā rahī

    na chaman rahā na fazā rahī

    na vo din rahe na havā rahī

    na ravish hai ab vo sip.har

    na guloñ meñ hai vo mahr

    ki havā hai gulshan-e-dahr

    mujhe sabz-bāġh dikhā rahī

    na wo ketki ki phaban rahi

    na wo motiya ki ada rahi

    na wo nastaran na saman rahi

    na wo gul rahe na faza rahi

    na gulon ke ab hain wo qahqahe

    na wo bulbulon ke hain chahchahe

    na ghazal-sara wo koi rahe

    na wo qumriyon ki sada rahi

    na wo sarw hai na wo aab-e-ju

    na wo ham-safir hain KHush-gulu

    na banafsha hai na wo naz-e-bu

    na wo jafri na jafa rahi

    na wo subh ki hain tajalliyan

    na shafaq ki aah wo jhalkiyan

    na wo udi udi hain badliyan

    na wo bhini bhini hawa rahi

    na umangen hain wo shabab ki

    na wo pattiyan hain gulab ki

    na hawa mein bu hai sharab ki

    mujhe mast thi jo bina rahi

    wo kanwal ghazab ke the dil-ruba

    jahan uDte the mere ham-nawa

    magar ab na un ki hai wo ada

    na wo bu rahi na safa rahi

    lab-e-abju thi faza ghazab

    wo bahaar ki thi hawa ajab

    mere kunj mein mujhe roz-o-shab

    mai-e-be-KHudi thi pila rahi

    wo ghazab ki ku-ku wo zamzama

    wo surili dard-bhari sada

    sar-e-sham sarw pe faKHta

    mujhe loriyan thi suna rahi

    hain kanwal ki KHushk jo pattiyan

    meri KHwab-gah thi kabhi yahan

    yahin shab ko de de ke thapkiyan

    thi nasim mujh ko sula rahi

    na gulon mein bu-e-wafa rahi

    na wo dil-ruba hi ada rahi

    na chaman raha na faza rahi

    na wo din rahe na hawa rahi

    na rawish hai ab wo siphar ki

    na gulon mein bu hai wo mahr ki

    ki hawa hai gulshan-e-dahr ki

    mujhe sabz-bagh dikha rahi

    Source:

    Durga Sahaye Suroor Jahanabadi(Tehqiqi aur Tanqidi Jaizay) (Pg. 274)

    • Author: Alif Nazim, Asad barkati
      • Edition: 2010
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now