aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

36

MORE BYZeeshan Sahil

    ai parinde hai apnī aag meñ jaltā huā

    duur se lekin dhuāñ uThtā nazar aatā nahīñ

    aisā lagtā hai ki haiñ shole fazā meñ har taraf

    āsmāñ niilā magar dhundlā nazar aatā nahīñ

    kuchh patā chaltā nahīñ ye sard hai ki garm hai

    tere dil aag lau saḳht hai ki narm hai

    kāTtī hai dil ke shīshe ko ye hiire tarah

    jhilmilātī hai samundar meñ jazīre tarah

    kashtiyoñ ke bādbāñ chalte haiñ is ko dekh kar

    aur sitāre raat bhar jalte haiñ is ko dekh kar

    phuul bhī shām-o-sahar Darte nahīñ is aag se

    raqs apne banāte haiñ vo lai is raag se

    ai parinde maiñ kisī din paas tere ā.ūñgā

    aur tirī jaltī huī is aag meñ jal jā.ūñgā

    ai parinde tu hai apni aag mein jalta hua

    dur se lekin dhuan uThta nazar aata nahin

    aisa lagta hai ki hain shole faza mein har taraf

    aasman nila magar dhundla nazar aata nahin

    kuchh pata chalta nahin ye sard hai ki garm hai

    tere dil ki aag ki lau saKHt hai ki narm hai

    kaTti hai dil ke shishe ko ye hire ki tarah

    jhilmilati hai samundar mein jazire ki tarah

    kashtiyon ke baadban chalte hain is ko dekh kar

    aur sitare raat bhar jalte hain is ko dekh kar

    phul bhi sham-o-sahar Darte nahin is aag se

    raqs ki apne banate hain wo lai is rag se

    ai parinde main kisi din pas tere aaunga

    aur teri jalti hui is aag mein jal jaunga

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 616)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now