aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai.n Dartaa huu.n

Afzal Ahmad Syed

mai.n Dartaa huu.n

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    mai.n Dartaa huu.n

    apne paas kii chiizo.n ko

    chhuu kar shaa.irii banaa dene se

    roTii ko mai.n ne chhu.aa

    aur bhuuk shaa.irii ban ga.ii

    u.nglii chaaquu se kaT ga.ii

    aur KHuun shaa.irii ban gayaa

    gilaas haath se gir kar TuuT gayaa

    aur bahut sii nazme.n ban ga.ii.n

    mai.n Dartaa huu.n

    apne se tho.Dii duur kii chiizo.n ko

    dekh kar shaa.irii banaa dene se

    daraKHt ko mai.n ne dekhaa

    aur chhaa.nv shaa.irii ban ga.ii

    chhat se mai.n ne jhaa.nkaa

    aur sii.Dhiyaa.n shaa.irii ban ga.ii.n

    ibaadat-KHaane par mai.n ne nigaah Daalii

    aur KHudaa shaa.irii ban gayaa

    mai.n Dartaa huu.n

    apne se duur kii chiizo.n ko

    soch kar shaa.irii banaa dene se

    mai.n Dartaa huu.n

    tumhe.n soch kar

    dekh kar

    chhuu kar

    shaa.irii banaa dene se

    mai.n Dartaa huu.n

    apne paas kii chiizo.n ko

    chhuu kar shaa.irii banaa dene se

    roTii ko mai.n ne chhu.aa

    aur bhuuk shaa.irii ban ga.ii

    u.nglii chaaquu se kaT ga.ii

    aur KHuun shaa.irii ban gayaa

    gilaas haath se gir kar TuuT gayaa

    aur bahut sii nazme.n ban ga.ii.n

    mai.n Dartaa huu.n

    apne se tho.Dii duur kii chiizo.n ko

    dekh kar shaa.irii banaa dene se

    daraKHt ko mai.n ne dekhaa

    aur chhaa.nv shaa.irii ban ga.ii

    chhat se mai.n ne jhaa.nkaa

    aur sii.Dhiyaa.n shaa.irii ban ga.ii.n

    ibaadat-KHaane par mai.n ne nigaah Daalii

    aur KHudaa shaa.irii ban gayaa

    mai.n Dartaa huu.n

    apne se duur kii chiizo.n ko

    soch kar shaa.irii banaa dene se

    mai.n Dartaa huu.n

    tumhe.n soch kar

    dekh kar

    chhuu kar

    shaa.irii banaa dene se

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now