aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa jao

Abdur Rasheed

aa jao

Abdur Rasheed

MORE BYAbdur Rasheed

    aa jaao paanī ke ghire taal meñ patthar saaf nazar aate haiñ

    khiḌkī ke pīchhe chehroñ meñ siisa bhartā jaatā hai

    raat akelī āñgan āñgan apne rassī pheñktī hai

    ūñchī havelī ke dālān se pakke ber uThā kar

    tere ḳhāl-o-ḳhat bosa letā huuñ

    aur havā dhuup milī chādar ke nīche so jaatā huuñ

    jaltā jism pahāḌ se din aur lohe bāDoñ meñ jhulse khet

    mankā mankā aañsū girne ko haiñ

    chiḌiyāñ ḳhvāboñ ke juzdāñ meñ varaq ulaTtī haiñ

    phuul badan Tahnī par se TuuT ke girte jaate haiñ

    aa jaao ThanDā paanī sharbat ban kar bilak rahā hai

    jism buḳhār se piilā phuul banā hai

    aa jao pani ke ghire tal mein patthar saf nazar aate hain

    khiDki ke pichhe chehron mein sisa bharta jata hai

    raat akeli aangan aangan apne rassi phenkti hai

    unchi haweli ke dalan se pakke ber uTha kar

    tere KHal-o-KHat ka bosa leta hun

    aur hawa ki dhup mili chadar ke niche so jata hun

    jalta jism pahaD se din aur lohe ki baDon mein jhulse khet

    manka manka aansu girne ko hain

    chiDiyan KHwabon ke juzdan mein waraq ulaTti hain

    phul badan ki Tahni par se TuT ke girte jate hain

    aa jao ThanDa pani sharbat ban kar bilak raha hai

    jism buKHar se pila phul bana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now