Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadam-zad ki dua

Aftab Iqbal Shamim

aadam-zad ki dua

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    zamīñ tañgiyoñ ko apnī baḳhshish se kushāda kar

    ki sajda kar sakūñ

    ye kyā ki mere hausloñ meñ rif.ateñ haiñ

    aur girtā rahā huuñ apnī fitrat ke nasheboñ meñ

    tirī kotāhiyāñ merī anā sarhadeñ haiñ

    kyā ye dīvāreñ

    sadā uThtī raheñgī mere siine par

    batā ye rañgīñ ye dūriyāñ paidā huī haiñ

    kis dānish se

    batā mere lahū meñ Dūbte jaate haiñ kyoñ

    injīr-o-zaitūñ ke giyā-histāñ

    mujhe bhaa.ī mere nīlām karne rahe haiñ

    tak rahā hai mujhe ma.azūr āñkhoñ safedī se

    ye kaisā shahar hai

    jis saqāfat machānoñ se

    mujhe maarā gayā hai aur maiñ showcase meñ

    laTkā huā huuñ

    merā manzar dekhne vaale

    likhī satroñ kaalī Doriyoñ par nāchte aate haiñ

    ḳhud apne tamāshā.ī

    batā baḌhtī huī ābādiyoñ meñ

    chāñdnī kyoñ ghaT ga.ī hai

    labrez palkeñ jhapakte qumqume āñkhoñ bhaiñgā-pan

    na.e chaḌhte dinoñ surḳhiyāñ haiñ kyā

    ḳhudāvand

    mujhe taa.ir shajar parbat banā de

    mujhe Dhā de

    ki dobāra janm luuñ apnī be mashrūt āzādī ḳhvāhish se

    zamin ki tangiyon ko apni baKHshish se kushada kar

    ki sajda kar sakun

    ye kya ki mere hauslon mein rifaten hain

    aur girta ja raha hun apni fitrat ke nashebon mein

    teri kotahiyan meri ana ki sarhaden hain

    kya ye diwaren

    sada uThti rahengi mere sine par

    bata ye rangin ye duriyan paida hui hain

    kis ki danish se

    bata mere lahu mein Dubte jate hain kyon

    injir-o-zaitun ke giya-histan

    mujhe bhai mere nilam karne ja rahe hain

    tak raha hai tu mujhe mazur aankhon ki safedi se

    ye kaisa shahar hai

    jis ki saqafat ki machanon se

    mujhe mara gaya hai aur main showcase mein

    laTka hua hun

    mera manzar dekhne wale

    likhi satron ki kali Doriyon par nachte aate hain

    KHud apne tamashai

    bata baDhti hui aabaadiyon mein

    chandni kyon ghaT gai hai

    labrez palken jhapakte qumqume aankhon ka bhainga-pan

    nae chaDhte dinon ki surKHiyan hain kya

    KHudawand

    mujhe tair shajar parbat bana de

    ya mujhe Dha de

    ki dobara janm lun apni be mashrut aazadi ki KHwahish se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now