Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadhi maut ka janm

Anjum Saleemi

aadhi maut ka janm

Anjum Saleemi

MORE BYAnjum Saleemi

    apne adhūre vajūd ke saath

    maiñ ne apnī aadhī qabr maañ kokh meñ banā.ī

    aur aadhī baap ke dil meñ

    maiñ apnī donoñ qabroñ meñ

    thoḌā thoḌā rahā huuñ

    thoḌā thoḌā mar rahā huuñ

    masīhā ne apne nusḳhe meñ

    merī tahlīl tajvīz likhī hai

    baabā ne mere dobāra janm mashvara māñgā

    aur maañ ne mere be-nām katbe ko āñsuoñ se saaf kiyā

    tab

    mere adhūre aur puure janm faisla mujh par chhoḌ diyā gayā

    do qabroñ meñ bane vajūd taḳhmīna lagāte hue

    sochtā huuñ

    kyā karūñ?

    marne ke liye uThūñ?

    jiine ke liye multavī ho jā.uñ?

    pyāre ristho!

    maiñ ek taraf duāoñ ke kafan meñ lipTā paḌā huuñ

    aur dūsrī taraf

    mere sirhāne sūraj-mukhī phuul dharā hai

    apne adhure wajud ke sath

    main ne apni aadhi qabr man ki kokh mein banai

    aur aadhi bap ke dil mein

    main apni donon qabron mein

    thoDa thoDa ji raha hun

    thoDa thoDa mar raha hun

    masiha ne apne nusKHe mein

    meri tahlil ki tajwiz likhi hai

    baba ne mere dobara janm ka mashwara manga

    aur man ne mere be-nam katbe ko aansuon se saf kiya

    tab

    mere adhure aur pure janm ka faisla mujh par chhoD diya gaya

    do qabron mein bane wajud ka taKHmina lagate hue

    sochta hun

    kya karun?

    marne ke liye ji uThun?

    ya jine ke liye multawi ho jaun?

    pyare ristho!

    main ek taraf duaon ke kafan mein lipTa paDa hun

    aur dusri taraf

    mere sirhane suraj-mukhi ka phul dhara hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now