Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHri sadi ke moD par

Qaisarul Jafri

aaKHri sadi ke moD par

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    na jaane zindagī kahāñ Thahar ga.ī

    ye fasl-e-intizār bhī guzar ga.ī

    khulā thā ik darīcha-e-falak-numā

    magar havā rāsta badal gayā

    tamām āsmāñ huā dhuāñ-dhuāñ

    zamīñ ek ek ḳhvāb jal gayā

    khulī huī fazā meñ raakh bhar ga.ī

    rafāqatoñ tarjumāñ thā jo lahū

    vo is tamāshā-gar sadī meñ bah gayā

    vo dard-e-mushtarak jo raushnī bane

    pighal ke vaqt nadī meñ bah gayā

    nadī badan tah talak utar ga.ī

    daraḳht apne phal ko ḳhud khā ga.e

    zamīñ god meñ girā na koī bhī

    sahar ke dast-e-nāz be-hinā rahe

    duā aañkh saarī raat roī bhī

    na jaane vo havā-e-shab kidhar ga.ī

    havā-e-sard kah rahī hai der se

    charāġh-e-jāñ bujhā ke so bhī jā.iye

    safar meñ kaun pūchhtā hai hāl-e-dil

    udāsiyoñ ke biich kho bhī jā.iye

    nigāh meñ jo sub.h thī vo mar ga.ī

    manziloñ ke ḳhvāb qusūr kyā

    pusht taraf jo qāfila chale

    jo rahravān-e-tez-pā bhaTak ga.e

    to ham bhī nā-murādiyāñ uThā chale

    zamīn apne zalzaloñ se Dar ga.ī

    na jaane zindagi kahan Thahar gai

    ye fasl-e-intizar bhi guzar gai

    khula tha ek daricha-e-falak-numa

    magar hawa ka rasta badal gaya

    tamam aasman hua dhuan-dhuan

    zamin ka ek ek KHwab jal gaya

    khuli hui faza mein rakh bhar gai

    rafaqaton ka tarjuman tha jo lahu

    wo is tamasha-gar sadi mein bah gaya

    wo dard-e-mushtarak jo raushni bane

    pighal ke waqt ki nadi mein bah gaya

    nadi badan ki tah talak utar gai

    daraKHt apne phal ko KHud hi kha gae

    zamin ki god mein gira na koi bhi

    sahar ke dast-e-naz be-hina rahe

    dua ki aankh sari raat roi bhi

    na jaane wo hawa-e-shab kidhar gai

    hawa-e-sard kah rahi hai der se

    charagh-e-jaan bujha ke so bhi jaiye

    safar mein kaun puchhta hai haal-e-dil

    udasiyon ke bich kho bhi jaiye

    nigah mein jo subh thi wo mar gai

    manzilon ke KHwab ka qusur kya

    pusht ki taraf jo qafila chale

    jo rahrawan-e-tez-pa bhaTak gae

    to hum bhi na-muradiyan uTha chale

    zamin apne zalzalon se Dar gai

    Source:

    (Pg. 150)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now