Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalam-e-barzaKH

Fahmida Riaz

aalam-e-barzaKH

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    ye to barzaḳh hai yahāñ vaqt ījād kahāñ

    ik baras thā ki mahīna hameñ ab yaad kahāñ

    vahī taptā huā gardūñ vahī añgārā zamīñ

    jā-ba-jā tishna o āshufta vahī ḳhāk-nashīñ

    shab-garāñ zīst-garāñ-tar to kar jaatī thī

    sūd-ḳhoroñ tarah dar pe sahar aatī thī

    ziist karne mashaqqat hameñ kyā kam thī

    mustazād us pe pirohit junūn-e-tāza

    sab ko mil jaa.e gunāhoñ yahīñ ḳhamyāza

    nā-ravā-dār fazāoñ jhulastī huī luu!

    mohtasib kitne nikal aa.e gharoñ se har

    tāḌte haiñ kisī chehre pe tarāvat to nahīñ

    koī lab nam to nahīñ bashre pe farhat to nahīñ

    kūcha kūcha meñ nikāle hue ḳhūnī diide

    gurz uThā.e hue dhamkāte phirā karte haiñ

    nau-e-ādam se bahar-taur riyā ke tālib

    ruuh be-zār hai kyuuñ chhoḌ na jaa.e qālib

    zindagī apnī isī taur jo guzrī 'ġhālib'

    ham bhī kyā yaad kareñge ki ḳhudā rakhte the

    ye to barzaKH hai yahan waqt ki ijad kahan

    ek baras tha ki mahina hamein ab yaad kahan

    wahi tapta hua gardun wahi angara zamin

    ja-ba-ja tishna o aashufta wahi KHak-nashin

    shab-garan zist-garan-tar hi to kar jati thi

    sud-KHoron ki tarah dar pe sahar aati thi

    zist karne ki mashaqqat hi hamein kya kam thi

    mustazad us pe pirohit ka junun-e-taza

    sab ko mil jae gunahon ka yahin KHamyaza

    na-rawa-dar fazaon ki jhulasti hui lu!

    mohtasib kitne nikal aae gharon se har su

    taDte hain kisi chehre pe tarawat to nahin

    koi lab nam to nahin bashre pe farhat to nahin

    kucha kucha mein nikale hue KHuni dide

    gurz uThae hue dhamkate phira karte hain

    nau-e-adam se bahar-taur riya ke talib

    ruh be-zar hai kyun chhoD na jae qalib

    zindagi apni isi taur jo guzri 'ghaalib'

    hum bhi kya yaad karenge ki KHuda rakhte the

    RECITATIONS

    Fahmida Riaz

    Fahmida Riaz,

    Fahmida Riaz

    aalam-e-barzaKH Fahmida Riaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now