aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasman zard tha

Mustafa Zaidi

aasman zard tha

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    ai kalī tujh ko hamārā bhī ḳhayāl aa gayā

    ham to māyūs hue baiThe the sahrāoñ meñ

    ab tirā ruup bhī dhundlā chalā thā dil meñ

    bhī ik yaad thī jumla hasīnāoñ meñ

    tah-ba-tah gard se ālūd thā din dāman

    raat naam na aatā thā tamannāoñ meñ

    raqs-e-shabnam parastār nigāhoñ ke liye

    dhuup ke abr the ḳhurshīd bauchhāreñ thiiñ

    āsmāñ zard thā jaise koī yarqāñ marīz

    jis ke takiye ke liye ret dastāreñ thiiñ

    dil bharā rahtā thā jalte hue chhāle tarah

    ruuh ke vāste dīvāreñ dīvāreñ thiiñ

    koī āvāz na aatī thī ba-juz saut-e-muhīb

    koī naġhma na thā chīloñ ke tarannum ke sivā

    saarā andāz thā phaile hue dariyāoñ

    reg-e-sahrā ke samundar meñ talātum ke sivā

    ḳhushk pattoñ namak ret ke zarroñ miThās

    hoñT sab zā.iqe rakhte the tarannum ke sivā

    kab tak is dil lagan raas na aatī āḳhir

    muskurātā huā gardūñ pe hilāl aa gayā

    apne dīvānoñ ko siine se lagāne ke liye

    ik ġhazal-paikar o afsāna-jamāl aa gayā

    ai falak ne hameñ ḳhaak se āḳhir ko chunā

    ai kalī tujh ko hamārā bhī ḳhayāl aa gayā

    ai kali tujh ko hamara bhi KHayal aa hi gaya

    hum to mayus hue baiThe the sahraon mein

    ab tera rup bhi dhundla sa chala tha dil mein

    tu bhi ek yaad si thi jumla hasinaon mein

    tah-ba-tah gard se aalud tha din ka daman

    raat ka nam na aata tha tamannaon mein

    raqs-e-shabnam ki parastar nigahon ke liye

    dhup ke abr the KHurshid ki bauchhaaren thin

    aasman zard tha jaise koi yarqan ka mariz

    jis ke takiye ke liye ret ki dastaren thin

    dil bhara rahta tha jalte hue chhaale ki tarah

    ruh ke waste diwaren hi diwaren thin

    koi aawaz na aati thi ba-juz saut-e-muhib

    koi naghma na tha chilon ke tarannum ke siwa

    sara andaz tha phaile hue dariyaon ka

    reg-e-sahra ke samundar mein talatum ke siwa

    KHushk patton ka namak ret ke zarron ki miThas

    honT sab zaiqe rakhte the tarannum ke siwa

    kab tak is dil ki lagan ras na aati aaKHir

    muskuraata hua gardun pe hilal aa hi gaya

    apne diwanon ko sine se lagane ke liye

    ek ghazal-paikar o afsana-jamal aa hi gaya

    ai falak tu ne hamein KHak se aaKHir ko chuna

    ai kali tujh ko hamara bhi KHayal aa hi gaya

    Source:

    kulliyat-e-mustafa zaidii(mauj mrii sadaf sadaf) (Pg. 30)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now