Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi kuchh din lagenge

Asghar Nadeem Syed

abhi kuchh din lagenge

Asghar Nadeem Syed

MORE BYAsghar Nadeem Syed

    abhī kuchh din lageñge ḳhvāb ko ta.abīr hone meñ

    kisī ke dil meñ apne naam sham.a jalāne meñ

    kisī ke shahr ko daryāft karne meñ

    kisī anmol saa.at meñ kisī nārāz sāthī ko zarā paas laane meñ

    abhī kuchh din lageñge

    dard parcham banāne meñ

    purāne zaḳhm pe marham lagāne meñ

    mohabbat kavitā ko havā ke ruḳh pe laane meñ

    purānī nafratoñ ko bhuul jaane meñ

    abhī kuchh din lageñge

    raat dīvār meñ ik dar banāne meñ

    muqaddar meñ lagī ik gāñTh ko āzād karne meñ

    na.e kuchh marhale tasḳhīr karne meñ

    mire 'ġhālib', mire 'tagore' ko apnā banāne meñ

    abhī kuchh din lageñge

    dasht meñ phūloñ gul-dasta sajāne meñ

    abhī kuchh din lageñge

    magar ye din ziyāda to nahīñ hoñge

    bas ik mausam duurī par

    kahīñ ham tum mileñge

    bas ik saa.at nazdīkī meñ

    bāham mashvare hoñge

    bas ik guzre hue kal se pare

    ham paas baiTheñge

    bahut daras sah leñge

    bahut baat kar leñge!

    abhi kuchh din lagenge KHwab ko tabir hone mein

    kisi ke dil mein apne nam ki shama jalane mein

    kisi ke shahr ko daryaft karne mein

    kisi anmol saat mein kisi naraaz sathi ko zara sa pas lane mein

    abhi kuchh din lagenge

    dard ka parcham banane mein

    purane zaKHm pe marham lagane mein

    mohabbat ki kawita ko hawa ke ruKH pe lane mein

    purani nafraton ko bhul jaane mein

    abhi kuchh din lagenge

    raat ki diwar mein ek dar banane mein

    muqaddar mein lagi ek ganTh ko aazad karne mein

    nae kuchh marhale tasKHir karne mein

    mere 'ghaalib', mere 'tagore' ko apna banane mein

    abhi kuchh din lagenge

    dasht mein phulon ka gul-dasta sajaane mein

    abhi kuchh din lagenge

    magar ye din ziyaada to nahin honge

    bas ek mausam ki duri par

    kahin hum tum milenge

    bas ek saat ki nazdiki mein

    baham mashware honge

    bas ek guzre hue kal se pare

    hum pas baiThenge

    bahut sa daras sah lenge

    bahut si baat kar lenge!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now