Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abul-haul

Zia Jalandhari

abul-haul

Zia Jalandhari

MORE BYZia Jalandhari

    jahān-e-reg ke ḳhvāb-e-girāñ se aaj to jaag

    hazāroñ qāfile aate rahe guzarte rahe

    koī jagā na sakā tujh ko tujh se kaun kahe

    vo ziist maut hai jis meñ koī lagan ho na laag

    taḌap uThe tire hoñToñ pe kaash ab koī raag

    jo tere dīda-e-sañgīñ se dard ban ke bahe

    ye terī tīra-shabī bijliyoñ ke naaz sahe

    yūñhī sulagtī rahe tere dil meñ ziist aag

    magar nahīñ, agar merā rāz-dāñ hotā

    tire laboñ pe dahak uThtī koī pyaar baat

    to aaj dahr ke siine pe kahāñ hotā

    tire sukūñ ko kabhī chhū sakā na vaqt haat

    ḳhud apnī aag meñ jal-bujhī hai merī hayāt

    vagarna terī tarah maiñ bhī jāvedāñ hotā

    jahan-e-reg ke KHwab-e-giran se aaj to jag

    hazaron qafile aate rahe guzarte rahe

    koi jaga na saka tujh ko tujh se kaun kahe

    wo zist maut hai jis mein koi lagan ho na lag

    taDap uThe tere honTon pe kash ab koi rag

    jo tere dida-e-sangin se dard ban ke bahe

    ye teri tira-shabi bijliyon ke naz sahe

    yunhi sulagti rahe tere dil mein zist ki aag

    magar nahin, tu agar mera raaz-dan hota

    tere labon pe dahak uThti koi pyar ki baat

    to aaj dahr ke sine pe tu kahan hota

    tere sukun ko kabhi chhu saka na waqt ka hat

    KHud apni aag hi mein jal-bujhi hai meri hayat

    wagarna teri tarah main bhi jawedan hota

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 91)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now