Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abu-lahab ki shadi

Noon Meem Rashid

abu-lahab ki shadi

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    shab-e-zafāf-e-abū-lahab thī magar ḳhudāyā vo kaisī shab thī

    abū-lahab dulhan jab aa.ī to sar pe īñdhan gale meñ

    sāñpoñ ke haar laa.ī na us ko mashshātgī se matlab

    na maañg ġhāza na rañg roġhan gale meñ sāñpoñ

    ke haar us ke to sar pe īñdhan

    ḳhudāyā kaisī shab-e-zafāf-e-abū-lahab thī

    ye dekhte hujūm biphrā bhaḌak uThe yuuñ ġhazab

    ki shole ke jaise nañge badan pe jābir ke tāziyāne

    javān laḌkoñ tāliyāñ thī na sehan meñ shoḳh

    laḌkiyoñ ke thirakte paañv thirak rahe the

    na naġhma baaqī na shādyāne

    abū-lahab ne ye rañg dekhā lagām thāmī lagā.ī

    mahmez abū-lahab ḳhabar na aa.ī

    abū-lahab ḳhabar jo aa.ī to sāl-hā-sāl zamāna

    ġhubār ban kar bikhar chukā thā

    abū-lahab ajnabī zamīnoñ ke laal o gauhar sameT kar

    phir vatan ko lauTā hazār tarrār o tez āñkheñ purāne

    ġhurfoñ se jhāñk uTThīñ hujūm piir o javāñ

    gahrā hujūm apne gharoñ se niklā abū-lahab ke julūs

    ko dekhne ko lapkā

    abū-lahab ik shab-e-zafāf-e-abū-lahab jalā

    phaphūlā ḳhayāl ret bagūlā vo ishq-e-barbād

    heyūlā hujūm meñ se pukār uTThī abū-lahab

    vahī hai jis dulhan jab aa.ī to sar pe īñdhan

    gale meñ sāñpoñ ke haar laa.ī

    abū-lahab ek lamha ThiThkā lagām thāmī lagā.ī

    mahmez abū-lahab ḳhabar na aa.ī

    shab-e-zafaf-e-abu-lahab thi magar KHudaya wo kaisi shab thi

    abu-lahab ki dulhan jab aai to sar pe indhan gale mein

    sanpon ke haar lai na us ko mashshatgi se matlab

    na mang ghaza na rang roghan gale mein sanpon

    ke haar us ke to sar pe indhan

    KHudaya kaisi shab-e-zafaf-e-abu-lahab thi

    ye dekhte hi hujum biphra bhaDak uThe yun ghazab

    ki shole ke jaise nange badan pe jabir ke taziyane

    jawan laDkon ki taliyan thi na sehan mein shoKH

    laDkiyon ke thirakte panw thirak rahe the

    na naghma baqi na shadyane

    abu-lahab ne ye rang dekha lagam thami lagai

    mahmez abu-lahab ki KHabar na aai

    abu-lahab ki KHabar jo aai to sal-ha-sal ka zamana

    ghubar ban kar bikhar chuka tha

    abu-lahab ajnabi zaminon ke lal o gauhar sameT kar

    phir watan ko lauTa hazar tarrar o tez aankhen purane

    ghurfon se jhank uTThin hujum pir o jawan ka

    gahra hujum apne gharon se nikla abu-lahab ke julus

    ko dekhne ko lapka

    abu-lahab ek shab-e-zafaf-e-abu-lahab ka jala

    phaphula KHayal ki ret ka bagula wo ishq-e-barbaad

    ka heyula hujum mein se pukar uTThi abu-lahab

    tu wahi hai jis ki dulhan jab aai to sar pe indhan

    gale mein sanpon ke haar lai

    abu-lahab ek lamha ThiThka lagam thami lagai

    mahmez abu-lahab ki KHabar na aai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    abu-lahab ki shadi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now