aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adhuri nazm

Abbas Tabish

adhuri nazm

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    añdherī shaam ke sāthī

    adhūrī nazm se zor-āzmā haiñ

    bar-sar-e-kāġhaz bichhaḌne

    suno... tum se dil-e-mahzūñ bāteñ kahne vāloñ

    yahī anjām hotā hai

    kahīñ satr-e-shikasta tarah haiñ chaar shāne chit

    kahīñ harf-e-tamannā tarah dil meñ tarāzū haiñ

    suno... in nīl-chashmoñ saḳht-jānoñ be-zabānoñ par

    jo guzregī so guzregī

    magar maiñ ik adhūrī nazm haijān meñ khoyā

    tumheñ āvāz detā huuñ

    ki tanhā aadmī taḳhlīq se aarī huā kartā hai

    jān-e-man!

    suno... mere qarīb aao

    ki mujh ko aaj raat ik adhūrī nazm puurī kar ke sonā hai!

    andheri sham ke sathi

    adhuri nazm se zor-azma hain

    bar-sar-e-kaghaz bichhaDne ki

    suno tum se dil-e-mahzun ki baaten kahne walon ka

    yahi anjam hota hai

    kahin satr-e-shikasta ki tarah hain chaar shane chit

    kahin harf-e-tamanna ki tarah dil mein taraazu hain

    suno in nil-chashmon saKHt-jaanon be-zabanon par

    jo guzregi so guzregi

    magar main ek adhuri nazm ki haijaan mein khoya

    tumhein aawaz deta hun

    ki tanha aadmi taKHliq se aari hua karta hai

    jaan-e-man!

    suno mere qarib aao

    ki mujh ko aaj ki raat ek adhuri nazm puri kar ke sona hai!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now