Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

africa come-back

Faiz Ahmad Faiz

africa come-back

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    "Africa Come Back"- is a popular slogan of the Socialists and Liberals of Africa. This poem was recited by Faiz in Montgomery Prison in 1955.

    aa jaao ne sun tire Dhol tarañg

    aa jaao mast ho ga.ī mere lahū taal

    ''ā jaao africa''

    aa jaao maiñ ne dhuul se māthā uThā liyā

    aa jaao ne chhīl āñkhoñ se ġham chhāl

    aa jaao meñ ne dard se baazū chhuḌā liyā

    aa jaao maiñ ne noch diyā be-kasī jaal

    ''ā jaao africa''

    afrīqī ḳhidmat pasandoñ na.ara

    panje meñ hathkaḌī kaḌī bin ga.ī hai gurz

    gardan tauq toḌ ke Dhālī hai maiñ ne Dhaal

    ''ā jaao africa''

    chalte haiñ har kachhār meñ bhāloñ ke marg nain

    dushman lahū se raat kālak huī hai laal

    ''ā jaao africa''

    dhartī dhaḌak rahī hai mire saath africa

    dariyā thirak rahā hai to ban de rahā hai taal

    maiñ africa huuñ dhaar liyā maiñ ne terā ruup

    maiñ huuñ merī chaal hai terī babbar chaal

    ''ā jaao africa''

    aao babbar chaal

    ''ā jaao africa''

    aa jao ne sun li tere Dhol ki tarang

    aa jao mast ho gai mere lahu ki tal

    aa jao africa

    aa jao main ne dhul se matha uTha liya

    aa jao ne chhil di aankhon se gham ki chhaal

    aa jao mein ne dard se bazu chhuDa liya

    aa jao main ne noch diya be-kasi ka jal

    aa jao africa

    afriqi KHidmat pasandon ka nara

    panje mein hathkaDi ki kaDi bin gai hai gurz

    gardan ka tauq toD ke Dhaali hai main ne Dhaal

    aa jao africa

    chalte hain har kachhaar mein bhaalon ke marg nain

    dushman lahu se raat ki kalak hui hai lal

    aa jao africa

    dharti dhaDak rahi hai mere sath africa

    dariya thirak raha hai to ban de raha hai tal

    main africa hun dhaar liya main ne tera rup

    main tu hun meri chaal hai teri babbar ki chaal

    aa jao africa

    aao babbar ki chaal

    aa jao africa

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 278)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now