Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil pahle bhi hum tanha the

Saqi Faruqi

ai dil pahle bhi hum tanha the

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    ai dil ham tanhā aaj bhī haiñ

    in zaḳhmoñ se

    in dāġhoñ se

    ab apnī bāteñ hotī haiñ

    jo zaḳhm ki surḳh gulāb hue

    jo daaġh ki badr-e-munīr hue

    is tarah se kab tak jiinā hai

    maiñ haar gayā is jiine se

    koī abr uThe kisī qulzum se

    ras barse mere vīrāne par

    koī jāgtā ho koī kuḌhtā ho

    mere der se vāpas aane pe

    koī saañs bhare mere pahlū meñ

    aur haath dhare mere shāne par

    aur dabe dabe lahje meñ kahe

    tum ne ab tak baḌe dard sahe

    tum tanhā tanhā chalte rahe

    tum tanhā tanhā jalte rahe

    suno tanhā chalnā khel nahīñ

    chalo aao mere hamrāh chalo

    chalo na.e safar par chalte haiñ

    chalo mujh ko banā ke gavāh chalo

    ai dil hum tanha aaj bhi hain

    in zaKHmon se

    in daghon se

    ab apni baaten hoti hain

    jo zaKHm ki surKH gulab hue

    jo dagh ki badr-e-munir hue

    is tarah se kab tak jina hai

    main haar gaya is jine se

    koi abr uThe kisi qulzum se

    ras barse mere virane par

    koi jagta ho koi kuDhta ho

    mere der se wapas aane pe

    koi sans bhare mere pahlu mein

    aur hath dhare mere shane par

    aur dabe dabe lahje mein kahe

    tum ne ab tak baDe dard sahe

    tum tanha tanha chalte rahe

    tum tanha tanha jalte rahe

    suno tanha chalna khel nahin

    chalo aao mere hamrah chalo

    chalo nae safar par chalte hain

    chalo mujh ko bana ke gawah chalo

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Aqib Sabir

    Aqib Sabir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now