Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ishq hamein barbaad na kar

Akhtar Shirani

ai ishq hamein barbaad na kar

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    ai ishq na chheḌ aa aa ke hameñ ham bhūle huoñ ko yaad na kar

    pahle bahut nāshād haiñ ham aur hameñ nāshād na kar

    qismat sitam kam nahīñ kuchh ye taaza sitam ījād na kar

    yuuñ zulm na kar be-dād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    jis din se mile haiñ donoñ sab chain gayā ārām gayā

    chehroñ se bahār-e-sub.h ga.ī ā.ankhoñ se faroġh-e-shām gayā

    hāthoñ se ḳhushī jaam chhuTā hoñToñ se hañsī naam gayā

    ġhamgīñ na banā nāshād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    ham rātoñ ko uTh kar rote haiñ ro ro ke duā.eñ karte haiñ

    ā.ankhoñ meñ tasavvur dil meñ ḳhalish sar dhunte haiñ aa.heñ bharte haiñ

    ai ishq ye kaisā rog lagā jiite haiñ na zālim marte haiñ

    ye zulm ai jallād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    ye rog lagā hai jab se hameñ ranjīda huuñ maiñ bīmār hai vo

    har vaqt tapish har vaqt ḳhalish be-ḳhvāb huuñ maiñ bedār hai vo

    jiine pe idhar bezār huuñ maiñ marne pe udhar tayār hai vo

    aur zabt kahe fariyād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    jis din se bañdhā hai dhyān tirā ghabrā.e hue se rahte haiñ

    har vaqt tasavvur kar kar ke sharmā.e hue se rahte haiñ

    kumhlā.e hue phūloñ tarah kumhlā.e hue se rahte haiñ

    pāmāl na kar barbād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    bedard! zarā insāf to kar is umr meñ aur maġhmūm hai vo

    phūloñ tarah nāzuk hai abhī tāroñ tarah ma.asūm hai vo

    ye husn sitam! ye rañj ġhazab! majbūr huuñ maiñ mazlūm hai vo

    mazlūm pe yuuñ be-dād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    ai ishq ḳhudārā dekh kahīñ vo shoḳh-e-hazīñ bad-nām na ho

    vo māh-laqā bad-nām na ho vo zohra-jabīñ bad-nām na ho

    nāmūs us ke paas rahe vo parda-nashīñ bad-nām na ho

    us parda-nashīñ ko yaad na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    ummīd jhūTī jannat ke rah rah ke na dikhlā ḳhvāb hameñ

    ā.inda farzī ishrat ke va.adoñ se na kar betāb hameñ

    kahtā hai zamāna jis ko ḳhushī aatī hai nazar kamyāb hameñ

    chhoḌ aisī ḳhushī ko yaad na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    kyā samjhe the aur kyā niklā ye soch ke hairān haiñ ham

    hai pahle-pahal tajraba aur kam-umr haiñ ham anjān haiñ ham

    ai ishq! ḳhudārā! rahm-o-karam ma.asūm haiñ ham nādān haiñ ham

    nādān haiñ ham nāshād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    vo raaz hai ye ġham aah jise jaa.e koī to ḳhair nahīñ

    ā.ankhoñ se jab aañsū bahte haiñ aa jaa.e koī to ḳhair nahīñ

    zālim hai ye duniyā dil ko yahāñ bhā jaa.e koī to ḳhair nahīñ

    hai zulm magar fariyād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    do din meñ ahd-e-tiflī ke ma.asūm zamāne bhuul ga.e

    ā.ankhoñ se vo ḳhushiyāñ miT ga.iiñ lab ko vo tarāne bhuul ga.e

    un paak bahishtī ḳhvāboñ ke dilchasp fasāne bhuul ga.e

    in ḳhvāboñ yuuñ āzād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    us jān-e-hayā bas nahīñ kuchh be-bas hai parā.e bas meñ hai

    be-dard diloñ ko kyā hai ḳhabar jo pyaar yahāñ aapas meñ hai

    hai bebasī zahr aur pyaar hai ras ye zahr chhupā is ras meñ hai

    kahtī hai hayā fariyād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    ā.ankhoñ ko ye kyā āzār huā har jazb-e-nihāñ par ro denā

    āhañg-e-tarab par jhuk jaanā āvāz-e-fuġhāñ par ro denā

    barbat sadā par ro denā mutrib ke bayāñ par ro denā

    ehsās ko ġham buniyād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    har dam abadī rāhat samāñ dikhlā ke hameñ dil-gīr na kar

    lillāh habāb-e-āb-e-ravāñ par naqsh-e-baqā tahrīr na kar

    māyūsī ke ramte bādal par ummīd ke ghar ta.amīr na kar

    ta.amīr na kar ābād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    chāhtā hai ik dūsre ko yuuñ aaTh pahar ham yaad kareñ

    ā.ankhoñ meñ basā.eñ ḳhvāboñ ko aur dil meñ ḳhayāl ābād kareñ

    ḳhalvat meñ bhī ho jalvat samāñ vahdat ko duī se shaad kareñ

    ye ārzueñ ījād na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    duniyā tamāshā dekh liyā ġhamgīn hai betāb hai

    ummīd yahāñ ik vahm hai taskīn yahāñ ik ḳhvāb hai

    duniyā meñ ḳhushī naam nahīñ duniyā meñ ḳhushī nāyāb hai

    duniyā meñ ḳhushī ko yaad na kar

    ai ishq hameñ barbād na kar

    ai ishq na chheD aa aa ke hamein hum bhule huon ko yaad na kar

    pahle hi bahut nashad hain hum tu aur hamein nashad na kar

    qismat ka sitam hi kam nahin kuchh ye taza sitam ijad na kar

    yun zulm na kar be-dad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    jis din se mile hain donon ka sab chain gaya aaram gaya

    chehron se bahaar-e-subh gai aaankhon se farogh-e-sham gaya

    hathon se KHushi ka jam chhuTa honTon se hansi ka nam gaya

    ghamgin na bana nashad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    hum raaton ko uTh kar rote hain ro ro ke duaen karte hain

    aaankhon mein tasawwur dil mein KHalish sar dhunte hain aahen bharte hain

    ai ishq ye kaisa rog laga jite hain na zalim marte hain

    ye zulm tu ai jallad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    ye rog laga hai jab se hamein ranjida hun main bimar hai wo

    har waqt tapish har waqt KHalish be-KHwab hun main bedar hai wo

    jine pe idhar bezar hun main marne pe udhar tayar hai wo

    aur zabt kahe fariyaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    jis din se bandha hai dhyan tera ghabrae hue se rahte hain

    har waqt tasawwur kar kar ke sharmae hue se rahte hain

    kumhlae hue phulon ki tarah kumhlae hue se rahte hain

    pamal na kar barbaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    bedard! zara insaf to kar is umr mein aur maghmum hai wo

    phulon ki tarah nazuk hai abhi taron ki tarah masum hai wo

    ye husn sitam! ye ranj ghazab! majbur hun main mazlum hai wo

    mazlum pe yun be-dad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    ai ishq KHudara dekh kahin wo shoKH-e-hazin bad-nam na ho

    wo mah-laqa bad-nam na ho wo zohra-jabin bad-nam na ho

    namus ka us ke pas rahe wo parda-nashin bad-nam na ho

    us parda-nashin ko yaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    ummid ki jhuTi jannat ke rah rah ke na dikhla KHwab hamein

    aainda ki farzi ishrat ke wadon se na kar betab hamein

    kahta hai zamana jis ko KHushi aati hai nazar kamyab hamein

    chhoD aisi KHushi ko yaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    kya samjhe the aur tu kya nikla ye soch ke hi hairan hain hum

    hai pahle-pahal ka tajraba aur kam-umr hain hum anjaan hain hum

    ai ishq! KHudara! rahm-o-karam masum hain hum nadan hain hum

    nadan hain hum nashad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    wo raaz hai ye gham aah jise pa jae koi to KHair nahin

    aaankhon se jab aansu bahte hain aa jae koi to KHair nahin

    zalim hai ye duniya dil ko yahan bha jae koi to KHair nahin

    hai zulm magar fariyaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    do din hi mein ahd-e-tifli ke masum zamane bhul gae

    aaankhon se wo KHushiyan miT si gain lab ko wo tarane bhul gae

    un pak bahishti KHwabon ke dilchasp fasane bhul gae

    in KHwabon si yun aazad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    us jaan-e-haya ka bas nahin kuchh be-bas hai parae bas mein hai

    be-dard dilon ko kya hai KHabar jo pyar yahan aapas mein hai

    hai bebasi zahr aur pyar hai ras ye zahr chhupa is ras mein hai

    kahti hai haya fariyaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    aaankhon ko ye kya aazar hua har jazb-e-nihan par ro dena

    aahang-e-tarab par jhuk jaana aawaz-e-fughan par ro dena

    barbat ki sada par ro dena mutrib ke bayan par ro dena

    ehsas ko gham buniyaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    har dam abadi rahat ka saman dikhla ke hamein dil-gir na kar

    lillah habab-e-ab-e-rawan par naqsh-e-baqa tahrir na kar

    mayusi ke ramte baadal par ummid ke ghar tamir na kar

    tamir na kar aabaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    ji chahta hai ek dusre ko yun aaTh pahar hum yaad karen

    aaankhon mein basaen KHwabon ko aur dil mein KHayal aabaad karen

    KHalwat mein bhi ho jalwat ka saman wahdat ko dui se shad karen

    ye aarzuen ijad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    duniya ka tamasha dekh liya ghamgin si hai betab si hai

    ummid yahan ek wahm si hai taskin yahan ek KHwab si hai

    duniya mein KHushi ka nam nahin duniya mein KHushi nayab si hai

    duniya mein KHushi ko yaad na kar

    ai ishq hamein barbaad na kar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor

    Source:

    kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 63)

      • Publisher: Khan Publishers, New Delhi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now