Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai matawalo! naqon walo!!

Ibn e Insha

ai matawalo! naqon walo!!

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    ai matavālo nāqoñ vaalo dete ho kuchh us patā

    najd ke andar majnūñ naamī ek hamārā bhaa.ī thā

    āḳhir us par kyā kuchh biitī jaano to ahvāl kaho

    maut milī lailā pā.ī? dīvāne ma.aal kaho

    aql bāteñ kahne vaale dostoñ ne use samjhāyā

    us ko to lekin chup lagī thī bolā baaz aayā

    ḳhair ab us baat ko chhoḌo dīvānā phir dīvānā

    jaate jaate ham logoñ ek sandesā le jaanā

    āvāra āvāra phirnā chhoḌ ke mañDlī yāroñ

    dekh rahe haiñ dekhne vaale 'inshā' ab haal vahī

    kyā achchhā ḳhush-bāsh javāñ thā jaane kyuuñ bīmār huā

    uThte baiThte miir baiteñ paḌhnā us shi.ār huā

    taur-tarīqa ukhḌā-ukhḌā chehrā piilā saḳht malūl

    raah meñ jaise ḳhaak pe koī maslā maslā baaġh phuul

    shaam savere baal bikhere baiThā baiThā rotā hai

    nāqoñ vālo! in logoñ aalam kaisā hotā hai

    apnā bhī vo dost thā ham bhī paas us ke baiTh aate haiñ

    idhar udhar ke qisse kah ke us bahlāte haiñ

    ukhḌī-ukhḌī baat kare hai bhuul ke aglā yārānā

    kaun ho tum kis kaam se aa.e? ham ne na tum ko pahchānā

    jaane ye kis ne choT lagā.ī jaane ye kis ko pyaar kare

    tumhī kaho ham kis ko DhūñDeñ aaheñ khīñche naam na le

    piit meñ aise jaan se yaaro kitne log guzarte haiñ

    piit meñ nāhaq mar nahīñ jaate piit to saare karte haiñ

    ai matvālo nāqoñ vālo! nagrī nagrī jaate ho

    kahīñ jo us jaan bairī mil jaa.e ye baat kaho

    chāk-girebāñ ik dīvāna phirtā hai hairāñ hairāñ

    patthar se sar phoḌ maregā dīvāne ko sabr kahāñ

    tum chāho to bastī chhoḌe tum chāho to dasht basā.e

    ai matavālo nāqoñ vaalo varna ik din ye hogā

    tum logoñ se aate jaate pūchheñge 'inshā' patā

    ai matawalo naqon walo dete ho kuchh us ka pata

    najd ke andar majnun nami ek hamara bhai tha

    aaKHir us par kya kuchh biti jaano to ahwal kaho

    maut mili ya laila pai? diwane ka maal kaho

    aql ki baaten kahne wale doston ne use samjhaya

    us ko to lekin chup si lagi thi na bola na baz aaya

    KHair ab us ki baat ko chhoDo diwana phir diwana

    jate jate hum logon ka ek sandesa le jaana

    aawara aawara phirna chhoD ke manDli yaron ki

    dekh rahe hain dekhne wale 'insha' ka ab haal wahi

    kya achchha KHush-bash jawan tha jaane kyun bimar hua

    uThte baiThte mir ki baiten paDhna us ka shiar hua

    taur-tariqa ukhDa-ukhDa chehra pila saKHt malul

    rah mein jaise KHak pe koi masla masla bagh ka phul

    sham sawere baal bikhere baiTha baiTha rota hai

    naqon walo! in logon ka aalam kaisa hota hai

    apna bhi wo dost tha hum bhi pas us ke baiTh aate hain

    idhar udhar ke qisse kah ke ji us ka bahlate hain

    ukhDi-ukhDi baat kare hai bhul ke agla yarana

    kaun ho tum kis kaam se aae? hum ne na tum ko pahchana

    jaane ye kis ne choT lagai jaane ye kis ko pyar kare

    tumhi kaho hum kis ko DhunDen aahen khinche nam na le

    pit mein aise jaan se yaro kitne log guzarte hain

    pit mein nahaq mar nahin jate pit to sare karte hain

    ai matwalo naqon walo! nagri nagri jate ho

    kahin jo us ki jaan ka bairi mil jae ye baat kaho

    chaak-gireban ek diwana phirta hai hairan hairan

    patthar se sar phoD marega diwane ko sabr kahan

    tum chaho to basti chhoDe tum chaho to dasht basae

    ai matawalo naqon walo warna ek din ye hoga

    tum logon se aate jate puchhenge 'insha' ka pata

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now