aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai mere sare logo

Ahmad Faraz

ai mere sare logo

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    ab mire dūsre baazū pe vo shamshīr hai jo

    is se pahle bhī mirā nisf badan kaaT chukī

    usī bandūq naalī hai mirī samt ki jo

    is se pahle mirī shah-rag lahū chaaT chukī

    phir vahī aag dar aa.ī hai mirī galiyoñ meñ

    phir mire shahr meñ bārūd phailī hai

    phir se ''tū kaun hai maiñ kaun hūñ'' aapas meñ savāl

    phir vahī soch miyān-e-man-o-tū phailī hai

    mirī bastī se pare bhī mire dushman hoñge

    par yahāñ kab koī aġhyār lashkar utrā

    āshnā haath aksar mirī jānib lapke

    mere siine meñ sadā apnā ḳhanjar utrā

    phir vahī ḳhauf dīvār tazabzub fazā

    phir vahī aam huiiñ ahl-e-riyā bāteñ

    na.ara-e-hubb-e-vatan māl-e-tijārat tarah

    jins-e-arzāñ tarah dīn-e-ḳhudā bāteñ

    is se pahle bhī to aisī ghaḌī aa.ī thī

    sub.h-e-vahshat tarah shām-e-ġharībāñ tarah

    is se pahle bhī to paimān-e-vafā TuuTe the

    shīsha-e-dil tarah ā.īna-e-jāñ tarah

    phir kahāñ ahmarīñ hoñToñ pe duāoñ ke diye

    phir kahāñ shabnamīñ chehroñ pe rifāqat ridā

    sandalīñ paañv se mastāna-ravī ruuTh ga.ī

    marmarīñ hāthoñ pe jal-bujh gayā añgār-e-hinā

    dil-nashīñ āñkhoñ meñ furqat-zada kājal royā

    shāḳh-e-bāzū ke liye zulf bādal royā

    misl-e-pairāhan-e-gul phir se badan chaak hue

    jaise apnoñ kamānoñ meñ hoñ aġhyār ke tiir

    is se pahle bhī huā chāñd mohabbat do-nīm

    nok-e-dashna se khichī thī mirī dhartī pe lakīr

    aaj aisā nahīñ aisā nahīñ hone denā

    ai mire soḳhta-jāno mire piyāre logo

    ab ke gar zalzale aa.e to qayāmat hogī

    mere dil-gīr mire dard ke maare logo

    kisī ġhāsib kisī zālim kisī qātil ke liye

    ḳhud ko taqsīm na karnā mire saare logo

    ab mere dusre bazu pe wo shamshir hai jo

    is se pahle bhi mera nisf badan kaT chuki

    usi banduq ki nali hai meri samt ki jo

    is se pahle meri shah-rag ka lahu chaT chuki

    phir wahi aag dar aai hai meri galiyon mein

    phir mere shahr mein barud ki bu phaili hai

    phir se tu kaun hai main kaun hun aapas mein sawal

    phir wahi soch miyan-e-man-o-tu phaili hai

    meri basti se pare bhi mere dushman honge

    par yahan kab koi aghyar ka lashkar utra

    aashna hath hi aksar meri jaanib lapke

    mere sine mein sada apna hi KHanjar utra

    phir wahi KHauf ki diwar tazabzub ki faza

    phir wahi aam huin ahl-e-riya ki baaten

    nara-e-hubb-e-watan mal-e-tijarat ki tarah

    jins-e-arzan ki tarah din-e-KHuda ki baaten

    is se pahle bhi to aisi hi ghaDi aai thi

    subh-e-wahshat ki tarah sham-e-ghariban ki tarah

    is se pahle bhi to paiman-e-wafa TuTe the

    shisha-e-dil ki tarah aaina-e-jaan ki tarah

    phir kahan ahmarin honTon pe duaon ke diye

    phir kahan shabnamin chehron pe rifaqat ki rida

    sandalin panw se mastana-rawi ruTh gai

    marmarin hathon pe jal-bujh gaya angar-e-hina

    dil-nashin aankhon mein furqat-zada kajal roya

    shaKH-e-bazu ke liye zulf ka baadal roya

    misl-e-pairahan-e-gul phir se badan chaak hue

    jaise apnon ki kamanon mein hon aghyar ke tir

    is se pahle bhi hua chand mohabbat ka do-nim

    nok-e-dashna se khichi thi meri dharti pe lakir

    aaj aisa nahin aisa nahin hone dena

    ai mere soKHta-jaano mere piyare logo

    ab ke gar zalzale aae to qayamat hogi

    mere dil-gir mere dard ke mare logo

    kisi ghasib kisi zalim kisi qatil ke liye

    KHud ko taqsim na karna mere sare logo

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    RECITATIONS

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz,

    Ahmad Faraz

    ai mere sare logo Ahmad Faraz

    Source:

    kulliyate ahmad faraaz (Pg. 699)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now