Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai subh-e-watan

Saghar Nizami

ai subh-e-watan

Saghar Nizami

MORE BYSaghar Nizami

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    ai rūh-e-bahār ai jān-e-chaman

    ai mutrib ai sāqī-e-man

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    le josh-e-junūñ zarboñ ne zanjīr-e-ġhulāmī toḌ

    jamhūr ke sañgīñ panje ne shāhī kalā.ī moḌ

    tārīḳh ke ḳhūnīñ hāthoñ se chhīnā hai tirā sīmīñ dāman

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    phir lauT ke aayā sadiyoñ meñ iqbāl-o-tarab sayyāra

    kirnoñ meñ ufuq par phir chamkā pastī ke añdheroñ maarā

    hairāñ hairāñ nāzāñ nāzāñ ḳhandāñ ḳhandāñ raushan raushan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    dhartī ke tabassum se chamke āfāq-e-abad ke sayyāre

    zulmat ke tarannum se phūTe nūr-e-abadiyyat ke dhāre

    zarroñ ko taġhayyur ne baḳhshā ik mo.ajiza-e-ḳhurshīd-shikan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    so.e hue zarre jaag uThe anvār-e-sahar bedār hue

    ehsās-e-zamīñ bedār huā afkār-e-bashar bedār hue

    bistar se ḳhazaf reze uTThe aur la.al-o-gohar bedār hue

    āñkhoñ ko milā gulzāroñ ne shāḳhoñ par samar bedār hue

    nainoñ se mastī barsātī lo jaag uThī hastī dūlhan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    banjar dhartī nas nas meñ paudoñ taḳhayyul lahrāyā

    ujḌe khetoñ par saaya hai gehūñ ke sunahrī ḳhoshoñ

    har barg-e-fasurda ne khīñchā doshīza bahāroñ dāman

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    sunsān bayābānoñ meñ hai ik jazba-e-gulshan-ārā.ī

    vīrāñ khañDaroñ meñ letā hai mahloñ tasavvur añgḌā.ī

    siipī rū-pahlī jholī meñ haiñ aaj hazāroñ durr-e-adan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    zarrāt meñ karvaT lene lage so lāla-ruḳhsān-o-māh-e-jabīñ

    sañgīn chaTānoñ meñ jaage asnām ke ḳhadd-o-ḳhāl-e-hasīñ

    hai dair ki ka.aba kyā jaane hai kaun aalam zer-e-zamīñ

    masjūd nahīñ hai koī bhī sajde meñ magar jhuktī hai jabīñ

    naqqāsh hai terī parchhā.īñ aazar hai tire sūraj kiran

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    aahan salābat meñ ubhrā ma.asūm tasavvur narmī

    phūloñ latāfat meñ umDā aahan ban jaane jazba

    qarnoñ ḳhamoshī ko hasrat hai sail-e-bayāñ ban jaane

    sadiyoñ udāsī ko zid hai ik nutq-e-javāñ ban jaane

    har saañs ke andar ġhaltāñ hai taġh.īr ke siine dhaḌkan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    parbat parbat sāgar sāgar parcham apnā lahrātā hai

    mahloñ pe miloñ pe qiloñ par azmat ke tarāne gaatā hai

    gul-bār ridā-e-āzādī sarshār javānī parcham

    ye amn ke naġhmoñ mutrib ḳhāmosh baġhāvat ye alam

    tahzīb ye zarrīñ āñchal ta.amīr ye rañgīñ dāman

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    qindīl-e-sahar nūr-e-manzil ḳhurshīd-e-sahar sham-e-sāhil

    ye ḳhūn-e-shahīdāñ maḳhzan ye dard-e-rafīqāñ hāsil

    ye amn lahrātā gesū ye sidq-o-mohabbat darpan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    ab khetoñ meñ gandum nahīñ sonā bhī ugegā ai saaqī

    baḳhshegā taġhayyur bhūkoñ ko ik roz mizāj-e-zarrātī

    ab hiire motī ugleñge ye bāġh-o-sahrā koh-o-daman

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    gaañv ko sunā.eñge muzhda ehsār-e-hasīñ ban jaane

    zarroñ ko sandesa deñge taḌap kar mahr-jabīñ ban jaane

    aur tere ufuq laalī se hote haiñ sitāre bhī raushan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    ab ḳhaak qadam majbūroñ barsā.egī duniyā par sonā

    ab atlas qismat hogī pairāhan-e-mehnat-kash honā

    paḌte nigāh-e-sā.iqa-e-zan jal uTThegā har nazm-e-kuhan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    khetoñ zamīñ ūñchī ho kar firdaus se rishta joḌegī

    ab hal anī sarmastī meñ ākāsh ke taare toḌegī

    vo din bhī ab kuchh duur nahīñ jab sayyāre hoñge āñgan

    ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    ai ruh-e-bahaar ai jaan-e-chaman

    ai mutrib ya ai saqi-e-man

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    le josh-e-junun ki zarbon ne zanjir-e-ghulami toD hi di

    jamhur ke sangin panje ne shahi ki kalai moD hi di

    tariKH ke KHunin hathon se chhina hai tera simin daman

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    phir lauT ke aaya sadiyon mein iqbaal-o-tarab ka sayyara

    kirnon mein ufuq par phir chamka pasti ke andheron ka mara

    hairan hairan nazan nazan KHandan KHandan raushan raushan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    dharti ke tabassum se chamke aafaq-e-abad ke sayyare

    zulmat ke tarannum se phuTe nur-e-abadiyyat ke dhaare

    zarron ko taghayyur ne baKHsha ek moajiza-e-KHurshid-shikan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    soe hue zarre jag uThe anwar-e-sahar bedar hue

    ehsas-e-zamin bedar hua afkar-e-bashar bedar hue

    bistar se KHazaf reze uTThe aur lal-o-gohar bedar hue

    aankhon ko mila gulzaron ne shaKHon par samar bedar hue

    nainon se masti barsati lo jag uThi hasti ki dulhan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    banjar dharti ki nas nas mein paudon ka taKHayyul lahraya

    ujDe kheton par saya hai gehun ke sunahri KHoshon ka

    har barg-e-fasurda ne khincha doshiza bahaaron ka daman

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    sunsan bayabanon mein hai ek jazba-e-gulshan-arai

    viran khanDaron mein leta hai mahlon ka tasawwur angDai

    sipi ki ru-pahli jholi mein hain aaj hazaron durr-e-adan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    zarraat mein karwaT lene lage so lala-ruKHsan-o-mah-e-jabin

    sangin chaTanon mein jage asnam ke KHadd-o-KHal-e-hasin

    hai dair ki kaba kya jaane hai kaun sa aalam zer-e-zamin

    masjud nahin hai koi bhi sajde mein magar jhukti hai jabin

    naqqash hai teri parchhain aazar hai tere suraj ki kiran

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    aahan ki salabat mein ubhra masum tasawwur narmi ka

    phulon ki latafat mein umDa aahan ban jaane ka jazba

    qarnon ki KHamoshi ko hasrat hai sail-e-bayan ban jaane ka

    sadiyon ki udasi ko zid hai ek nutq-e-jawan ban jaane ka

    har sans ke andar ghaltan hai taghir ke sine ki dhaDkan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    parbat parbat sagar sagar parcham apna lahraata hai

    mahlon pe milon pe qilon par azmat ke tarane gata hai

    gul-bar rida-e-azadi sarshaar jawani ka parcham

    ye amn ke naghmon ka mutrib KHamosh baghawat ka ye alam

    tahzib ka ye zarrin aanchal tamir ka ye rangin daman

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    qindil-e-sahar nur-e-manzil KHurshid-e-sahar sham-e-sahil

    ye KHun-e-shahidan ka maKHzan ye dard-e-rafiqan ka hasil

    ye amn ka lahraata gesu ye sidq-o-mohabbat ka darpan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    ab kheton mein gandum hi nahin sona bhi ugega ai saqi

    baKHshega taghayyur bhukon ko ek roz mizaj-e-zarraati

    ab hire moti uglenge ye bagh-o-sahra koh-o-daman

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    ganw ko sunaenge muzhda ehsar-e-hasin ban jaane ka

    zarron ko sandesa denge taDap kar mahr-jabin ban jaane ka

    aur tere ufuq ki lali se hote hain sitare bhi raushan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    ab KHak qadam majburon ki barsaegi duniya par sona

    ab atlas ki qismat hogi pairahan-e-mehnat-kash hona

    paDte hi nigah-e-saiqa-e-zan jal uTThega har nazm-e-kuhan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    kheton ki zamin unchi ho kar firdaus se rishta joDegi

    ab hal ki ani sarmasti mein aakash ke tare toDegi

    wo din bhi ab kuchh dur nahin jab sayyare honge aangan

    ai subh-e-watan ai subh-e-watan

    Source:

    Urdu Me.n Qaumi Shayri ke 100 Saal (Pg. E-346 B-351)

      • Edition: 1959
      • Publisher: Parkashan Shakha Mohkam-e-Ittilaat, U. P.
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now