Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai waqt zara tham ja

Amjad Islam Amjad

ai waqt zara tham ja

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    ik ḳhvāb aahaT se yuuñ guuñj uThīñ galiyāñ

    ambar pe khile taare bāġhoñ meñ hañseñ kaliyāñ

    sāgar ḳhamoshī meñ ik mauj ne karvaT

    aur chāñd jhukā us par

    phir baam hue raushan

    khiḌkī ke kivāḌoñ par saaya koī larzā

    aur tez huī dhaḌkan

    phir TuuT ga.ī chūḌī, ujaḌne lage manzar

    ik dast-e-hinā.ī dastak se khulā dil meñ

    ik rañg darvāza

    ḳhushbū ajab mahkī

    koyal tarah koī be-nām tamannā

    phir duur kahīñ chahkī

    phir dil surāhī meñ ik phuul khilā taaza

    jugnū bhī chale aa.e sun shaam āvāza

    aur bhañvre hañse mil kar

    har ek sitāre āñkhoñ meñ ishāre haiñ

    us shaḳhs ke aane ke

    ai vaqt zarā tham

    āsār ye saare haiñ us shaḳhs ke aane ke

    ek KHwab ki aahaT se yun gunj uThin galiyan

    ambar pe khile tare baghon mein hansen kaliyan

    sagar ki KHamoshi mein ek mauj ne karwaT li

    aur chand jhuka us par

    phir baam hue raushan

    khiDki ke kiwaDon par saya sa koi larza

    aur tez hui dhaDkan

    phir TuT gai chuDi, ujaDne lage manzar

    ek dast-e-hinai ki dastak se khula dil mein

    ek rang ka darwaza

    KHushbu si ajab mahki

    koyal ki tarah koi be-nam tamanna si

    phir dur kahin chahki

    phir dil ki surahi mein ek phul khila taza

    jugnu bhi chale aae sun sham ka aawaza

    aur bhanwre hanse mil kar

    har ek sitare ki aankhon mein ishaare hain

    us shaKHs ke aane ke

    ai waqt zara tham ja

    aasar ye sare hain us shaKHs ke aane ke

    Source:

    Nazdik (Pg. 92)

    • Author: Amjad Islam Amjad
      • Edition: 2014
      • Publisher: Sang-e-Meel Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now