Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alfaz

MORE BYObaidullah Aleem

    ye lafz suqrāt lafz iisā

    maiñ in ḳhāliq ye mere ḳhāliq

    yahī azal haiñ yahī abad haiñ yahī zamāñ haiñ yahī makāñ haiñ

    ye zehn-tā-zehn rah-guzar haiñ ye rūh-tā-rūh ik safar haiñ

    sadāqat-e-asr bhī yahī haiñ karāhat-e-jabr bhī yahī haiñ

    alāmat-e-dard bhī yahī haiñ karāmat-e-sabr bhī yahī haiñ

    baġhair tafrīq-e-rañg-o-maz.hab zamīñ zamīñ in bādshāhī

    khiñche hue haiñ lahū lahū meñ bichhe hue haiñ zabāñ zabāñ par

    ye jhuuT bhī haiñ ye luuT bhī haiñ ye jañg bhī haiñ ye ḳhuun bhī haiñ

    magar ye majbūriyāñ haiñ in

    baġhair in ke hayāt saarī tavahhumātī

    har ek harakat sukūt Thahre

    na kah sakeñ kuchh na sun sakeñ kuchh

    har ek ā.īna apnī akkāsiyoñ pe hairāñ ho aur chup ho

    nigāh-e-nazzāra-bīñ tamāshā ho vahshatoñ

    ijāzat-e-jalva de ke jaise zabāñ se goyā.ī chhīn jaa.e

    na husn kuchh ho na ishq kuchh ho

    tamām ehsās havā.eñ tamām irfān ke jazīre tamām ye ilm ke samundar

    sarāb hoñ vahm hoñ gumāñ hoñ

    ye lafz tesha haiñ jin se afkār apnī sūrat tarāshte haiñ

    masīh-e-dast-o-qalam se nikleñ to phir ye alfāz bolte haiñ

    yahī musavvir yahī haiñ but-gar yahī haiñ shā.er

    yahī muġhannī yahī navā haiñ

    yahī payambar yahī ḳhudā haiñ

    maiñ kīmiyā huuñ ye kīmiyā-gar

    ye merā kalyān chāhte haiñ

    maiñ in tasḳhīr kar rahā huuñ

    ye merī ta.amīr kar rahe haiñ

    ye lafz suqraat lafz isa

    main in ka KHaliq ye mere KHaliq

    yahi azal hain yahi abad hain yahi zaman hain yahi makan hain

    ye zehn-ta-zehn rah-guzar hain ye ruh-ta-ruh ek safar hain

    sadaqat-e-asr bhi yahi hain karahat-e-jabr bhi yahi hain

    alamat-e-dard bhi yahi hain karamat-e-sabr bhi yahi hain

    baghair tafriq-e-rang-o-mazhab zamin zamin in ki baadshahi

    khinche hue hain lahu lahu mein bichhe hue hain zaban zaban par

    ye jhuT bhi hain ye luT bhi hain ye jang bhi hain ye KHun bhi hain

    magar ye majburiyan hain in ki

    baghair in ke hayat sari tawahhumati

    har ek harakat sukut Thahre

    na kah saken kuchh na sun saken kuchh

    har ek aaina apni akkasiyon pe hairan ho aur chup ho

    nigah-e-nazzara-bin tamasha ho wahshaton ka

    ijazat-e-jalwa de ke jaise zaban se goyai chhin li jae

    na husn kuchh ho na ishq kuchh ho

    tamam ehsas ki hawaen tamam irfan ke jazire tamam ye ilm ke samundar

    sarab hon wahm hon guman hon

    ye lafz tesha hain jin se afkar apni surat tarashte hain

    masih-e-dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaz bolte hain

    yahi musawwir yahi hain but-gar yahi hain shaer

    yahi mughanni yahi nawa hain

    yahi payambar yahi KHuda hain

    main kimiya hun ye kimiya-gar

    ye mera kalyan chahte hain

    main in ki tasKHir kar raha hun

    ye meri tamir kar rahe hain

    Source:

    Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 41)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now